Saturday, December 5

जलपरियों का रहस्य और उससे जुडी रहस्मयी घटनाएं | Mermaid Mystery

जलपरियों का रहस्य और उससे जुडी रहस्मयी घटनाएं | Mermaid Mystery


marmaid pani k eek kalpanik pari hai, jiska sir aur dhad manab stree ka aur niche ka hissa machli ka hota hai, marmaid dunia ke kai sanskritiyon ke lok katha me paye jati hai, jisme near east , urope, Africa aur asia samil hai,marmaid ko kaibar baadh, tufan aur samudri jahajo ko dubne jese durbhagyapurn ghatnaon me joda jata hai, kai anya sanskriyon me maemaid ko dayalu , upkari manab ko bardan dene ya fir use pyar karnewali ek khubsurat jalpari manajata hai.

Marmaid ki kuch bisestayen green mythology ki syron se prabhabit lagti hai, halanki ese koi sabut nehi hai, ki marmaid ka astitwa lok kathaon se bahar bhi hai,fir v marmaid dikhne ki khabren aaj bhi sunnne ko miljati hai,aaiye jante hain biswa me kanha kanha aur kin kin sanskritiyon me marmaid ka ullekh milti hai.

Near east aur ancient greace

Pehli marmaid ki kahani aseria me 1000 isapurb me prakash me aai, atargis  devi, jo ki asiria ki rani ki maa thi ekcharwah se pyar kartithi, jisse ussne anjane me maar dala, sarmindigi ke karan wo ek talab me kud gei aur machli ka roop leliya , lekin pani uska apar soudarya chupa nehi sakta thaa, jiske bajah se usne marmaid ka roop dharan kia, jo kamar ke upar insane thi ‘

546 isapurb se  pehle philosafar anexy Milton ne daba kia ki manab jati ki utpati ek jaliya prani ki prajati se huithi,unki soch thi agar esa nehi hua hota to manushya jiski sisu abastha kafi lambe samay tak hoti hai jibit rehna sambhab nehi tha.

 One thousands and one nights

One thaousand and one night collection me, samudra me rehnewale logon ke bareme kai kathayen hai, jese jullenarth seagirl, anya pouranik kathaon me barnit ,kathaon ke biprit ye saririk sanrachaname bhumipar rehne wale manushya se mel khati hai, aur kebal pani me saans lene aur rehne ki khyamta inhe alag banati hai, yeh manushya ke sath prajanan kar sakti hai, aur Milan se utpan bachon ke paas bhi, pani me rehne ki khyamta hoti hai.

British eyels

Britidh lok kathaon me marmaid ko asubh kaha geya hai ,jo musibat ke bhabishyabani karti hai aur uska karan bhi banti hai,  kai rupantar ek marmaid ko nast hui samudri jahajon se baat karti hui barnit karti hai , lekin marmaid kabhi kabhi paropkari bhi ho sakti hai udaharn ke liye wo manushya ko kai bimarion ka ilaj batati hai,

 scotics mythology me barnit seaesk  ek taje pani ki mermaid hai ,halanki iss sabd ke alawa scotics lok kathaon kuch jyada nehi likha geya hai, dusre british dipon ki kathaoon me barnit marmaids ke tulna me ilofmen me ullekhit  marmaid jinhe benwari kahageya hai, usko manushyaon ki prati jyada sahayak bataya geya hai,  aur marmaid dwara manushya ke sahayata karne unhe upahar aur puraskar dene adi ke kai ullekh milte hain.

Ek kahani me bataya geya ki ek machuara ek musibAT ME PHASI MARMAID KO pani me wapas jane me madat karta hai aur marmaid puraskar ke taur par use khajane ka rasta batati hai.

 

WESTERN UROPE

Uropiyo lok kathaon me mermaid jesi prani he malusen ,yeh kabhi machli ke do puch ke sath dikhai gei hai to kabhi naag ke nichle hisse ke sath, sahitya me mermaid ka sabse prasidh udaharan little mermaid he jisse 1837 me  pehle bar prakasit kia geya tha, 1990 me world disny, little mermaid ki kahani par adharit ek full lainth animated film v relese ki thi.

Eastern urope

Russle cas, greek syrus ki silavik pratiroop hai, amm tour par wo essi mahilaon ki bhoot hai, jo apni sadi se pehele hi  hinsak yah asamay mrutyu ko prapt hui ho,, jese ki hatya yah atmahatya se, aur khas kar dubne se , kahajatahe russle cas talabon aur nadiyon me rehti hai, wo lambe pile hare balo bali aur pili twochabali khubsurat yubation jesi dikhti hai, jinhe andhera padne ke baad , chand ke tale ek saath nachte dekha ja sakta hai, wo yuva purshon ko unka naam se pukar kar unnhe pani ki taraf akarshit karti hai, aur dubakar maar deti hai,  dakhini russ, ucrane aur belarush me russal cas ko akarshak aur dhoke se chalnewali, dono ke roop me barnan prachalit hai.

Chin

Marmaids , chini geography our mythology ke sanjhayi sankalan me chauthi satabhi issa purb se samil hai,pandrawi sadi me sankalit chini sahitya me mermaid ke bare me bataya geya hai, jo roti thi to uske ansu moti ban jate the, unisbi sadi ke suruwat ki daur me ek kitab jiska sirsak tha jottings on the south of china me mermaid se sambadhit do kahaniyan bhi hai.

Africa

Pani ki maa ,panime rehnewali atmayen hai jinhe paschimi ,Madhya aur dakhini afrika me puja jata hai, caribian me rehnewali africian prabasi bhi iski puja karte hai, yeh aam taour par mahilayen hoti hai , unhe shaintani prabruti ka mana jata hai, aur aksar khatarnat mohak mahilayon ka roop dharan kar purshon ko lalchakar unhe maut ke ghat utar deti hai.

Hindu dharm

Sunamkhya ravan k eek putri hai, jiske naam ka arth hai choti sunheri mermaid ,iska ullekh ramayan ki combodiAN aur thai sanskaran me milta hai, wo ek mermaid rajkumari hai, jo srilanka tak pul nirman me mahabali hanuman ki yojnaom ko bigadne ki kosish karti hai, lekin iske bajaye unse pyar kar baith ti hai, wo thai lok kathayen ki ek lok priya charitra hai.

Dosto aaj ka iss episode me baas itna hi, video achalaga to please like kijiye, aur channel ko subscribe jarur kijiye taki anewalam video aaplog miss na kare , firse milenge ek naye episode me tab tak ke liye , namaskar.



No comments:

Post a Comment

if you have any doubts.please let me know

दुनिया की सबसे डरावनी जगह | Scariest places in the world

                    दुनिया की सबसे डरावनी जगहों   दोस्तों , भूत-प्रेत एक ऐसा टॉपिक है , जिस पर लोगों के अलग-अलग मत होते हैं. कोई भूत-प...