Alien UFO found on Baltic Sea,समुद्र में मिला रहस्यमयी UFO
Jal aur
thal ,dharti ki do ese hisse, jinpar dharti ke rehnewale, sabhi jibon ka jiban
nirbhar hai,janha pasu pakhi orr insane jamin par rehte hen, wohi terne wale
karodo jib jantu bisalkay orr gehre samundra me nibash karte hnnnai,dharti ko
achi taraaha se, samjhne wale log,yeh mante hai, ki uska kul jinan ka lagbhag
80 pratisat samudra ke gehrai me mahjood hai,jisse hum sadiyon ki khoj ke baad
bhi,kebal 10pratisat hi samajh paye hain,duniabhar me mahjood, sekdon gotakhor
hardin samudra ki gehrai me utarkar, aneko prajati ke jibo, dube hue nabo,orr
pandubion ki khoj karte hain,fir bhi samudra kitna kuch apneandar chupaya
beitha hai ,jisse janna abhi baki hai,ajj ka yeh episode bhi samudra ka esehi,
rahashyamai roop par adharit hai,jo kanhi na kanhi iss baat ko sidh karta hai ,
ki iski gehrai me mahjood , aneko esi chije hain jinke milne par insan heran to
hoga hi , lekin yeh chije hume kis disha me mood den, hum khood bhi nehi jante.
Esahi ek
udaharan hai baltik sagar aur uski gehrai me khojigeyi, ek asadharan aur
bisalkay chij,jiske pass hum ja nehi sakte, aur ye anokhi chijn hume apne pass
ane nehi deti, kahajatahe ki ye ese dhatu ki bani hai , jise dhartipar banana
naa munkin hai, aur iske pass jate hi, sabhi electronic upkaran kaam karna band
kar dete hain, UFO ke akar key eh ajib si chij , aaj sabhi ke liye
hairani ke bishay hai.
Kahani ki
suruwat san 2011 me hui , jab ocean x namak , gotakhoron ki ek team, baltik
sagar me kisi khoj me ghum rahi thi,unki issi khoj ke dauran, kuch esa hua,
jisse dekhkar nao me mahajood puri ki puri team, hairan reh gei,jab unke nao me
lage , sonal upkaran me , ek essi bishalkay chij dekhigeyi, jo apni banawat aur
akar ke adhar par, asadharan thi,jiska byas , yani dayameter lagbhag 60meter,
aur akar ande jesa tha, aur jiski lambai takriban, 8meter anki geyi,lagbhag
90meter samudar ke gehrai me, mahjood yeh ajeeb si akriti , pehli najar me kisi
Hollywood filmo me dikhai geyi , ufo jesi lagi, ocean x ki team ko hairani tab
hui, jab sonalr me iski pehli jhalak atehi,jahaj par mahjood , sabhi electronic
upkaran, kharab hona suru hogaye, aur iske chalte iss team dwara samundra me
utar kar , isse karibse janchne ki faisle ko bhi, radh karna pada.
Har nai
khabar ki tarah, iss baat ki v kafi alochanaye hui, ki ocean x ki team, surkhiyon
bane rehne ke liye, esi afwaon ka sahara lerahi hai, sach ki padtal karne se pehle, kisi natija
par pahancna bhi, thik nehi tha. Issiliye iss ajeeb si akruti ka ek namuna,
jese tese samudra se layaa geya, aur iss dhanche ki tasbire v lai gei, age
janch hui to payageya, ki iss tukde me mahjood, limonaite aur goyethaite jese dhatu ,
na to humare dhartipar mahjood hai, aur nahi hi inhe , banaya ja sakta hai.
Lekin iss janch me bhi, kai matbhed hui. Kyunki kuch bisesagyan ka manna he ,
ki humare dharti yeh dono hi dhatu, paida kar sakti hai.
Issi
dhanche ki bareme v , kai aur alag alag ray banti chali gayi, janha kuch ka
manna tha , ki yeh koi UFO hi hai, jo kisi kharabi ke chalte panime doob geya
hoga,wanhi kuch log mante hain, yeh kisi pandoobi ka abses hai jo dushre
biswayoodh ke samay, germany aur uk ne banaya hoga.
Lekin
ocean x ki do mukhya gotakhor, ab bhi issi baat par ade hain,ki agar yeh koi
mamuli si chij hai, to isske ghere me atehi, koibhi electronics upkaran , kamm
karna kyun band kar deti hain,wohin in dhanche par bane aneko nishan, aur iski
asadharan banawat , jo dunia ki kisi bhi chij se mel nehi khati, aur kyun
abbtak , koibhi sodhh karta,iski guthi suljhaneme, safal nehi huye.inn jese
tarko ne , iss khoj ko, duniya bhar me prasidhi dilayi,
inn jese
aneko tarko ke sath, kai saal beet gaye,
lekin iss rahasyamai akruti ke raaj se parda, aajtak nehi uthpaya, lekin iss
khoj se jude kai logon ka manna hai, ki isska natija jald hi niklega. jisse
umeed ki ja saktihai, ki yeh khoj, humare kai sawalo ke jabab degi, baltik
sagar ke gehrai me mahjood yeh anokhi akriti, apne saath kai sabalo ko chupaya
hua hai,isske pass jaatehi , sabhi electronic upkarno ka ,band ho jana, aur
iski anokhi banawat, hume hairan karti aayi haai,jiska jawab sayad hume ,
anewale samay me miljay.
Dosto aaj
ke iss episode me bas intahi, video achalaga
to jarur se like kijiye, sath hi channel ko subscribe karke ghanti ko
jarur dabaiye , taki app humara agla video sabse pehle dekh sake, firse milenge
ek naye episode me, taba tak ke liye namaskar.
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know