Thursday, September 24

अनसुलझी रहस्यमयी घटनाएं Unsolved Mysteries Hindi

अनसुलझी रहस्यमयी घटनाएं Unsolved Mysteries Hindi 

Unsolved mystery

Rahashhya sach aur jhut ke bich eke se lakir hai, jo sambhabanaon ko jannm deti hai, aur usko janne ki utsukta badhati hai,  dunia me kai ese rahashyamay ghatnayen hui hai jinka rahashya aaj bhi kayam hai, aaj ka iss  episode me kuch esehi ghatnaon ka jikkr hai jo prakruti ke asadharan roop  ko pesh karti hai,aur jiske samne insano ki budhi aura apar safalta bhi ghutne tek deti hai,

Ourang medan,

 ek bhutiya jahaj, june 1947 pani ke kai jahaj malaka ke byaparik marg se gujarrahethe, ki achanak malesia ki samudri kinare par kisi jahaj se aya ek sos, yani madat ka sandesh, receve kiageya, jisme jahaj ki gambhir halaton ki jankari thi, masseg me likha tha captain sahit sabhi officers mare huye pade hai, jahaj ki pure crru ke marne ki sambhabana hai,

Iske baad aye dushre aur akhri massage me likhatha I dai yani me mara, massge milne ke kuuch der baad padoshi jahajo ne pya ki madat ka yeh sandesh ek dech malbahak jahaj se ayatha, jiska naam tha ss ourang medan , iske baad silver star namak navy ka jahaj badi hi teji se ghatna stal par pahancha , lekin oreng medan par pahanch ne baad silver star ki crru nee jo dekha wo sachem bhayanak tha , jahajo ke sabhi sadashyaon ke lashe idhar udhar bikhri padithi, mare hue sabhi logon ke ankhe iss tarah khuli thi jese marne se pehle kuch bhayanak dekha ho, madat ka sandesh bhejnewale opprater ka haath abb bhi machine par tha mano usne marte marte wo sandesh bheje the,

Hairani ki baat thi ki jahaj par mare hue kisi bhi byakti ki sarir par chot ya kisi ghao ka nishan nehi tha, silver star ke crru ne fesla kiya, ki iss jahaj ko Bandar gah par wapas pahancha diya jae, lekin isse pehle wo kuch karpate jahaj ke pichle hisse me aag lag gei.

Aur ourang medan samudra me doob geya,silver star ke member ko khudko bachane ke waqk bhi kafi muskil se mila, iske baadse ourage medan par hui maton ka rehshya sabhi ko parishan karta hai,,  akhir jahaj ke crru ne esi kounsi bhayank chij dekhi jisne sabko maut ke ghat utar diya, wo bhi kisiko chot pahanchaye bina , jahaj ke rahashya ko suljane ke liye, age kai sodh hui  par koi bhi iss baat ka pata nehi laga paya ki jahaj me hui unn maton ke piche akhir koun tha,

Apne aap insano ka jal uthna

Yeh to swabhabik hai ki insane ke maut baad uske sarir ko jalaya ya dafnaya jata hai, lekin aapke same esi ghatnaye ajaye janha insan bina kisi madat se jinda hi jal uthe, to ye apne aapme kitana rahashyamai hoga , aur uspar ye pata lagapana utne hi muskil hoga ki esa akhir hua kyun,

Uniswi sadime ese hi kuch ghatnayenn samne ai, jab kai jale hue mrit sarir apne gharon me payegaye,, jinki bare me dharna tthi ki yeh manab dahan unki sarir ki bhitar ki aag ke bajah se hua hai,, naki bahar se jail kisi aag ya chingari ki bajah se,

4 december 1966 ko john erbink  esehi abastha me apni gharpar paye gaye, jo puri tarah se jalkar rakh ho chuke thhe, jisme sirf unka danya per hi shes reh geya tha, kadi adhayan ke baad bhi aag lagne ki koi dusri bajah nehi mil saki,

 Issi prakar shan 1980 me 73barsiya henri thomash ke sarir bhi jalihui halat me paya geya , jisme unka khopdi aur ek per shesh reh geya tha, iske baad itihas me ese keyi ghatnayen samne ayi , jisme insano ke sarir binakisi bahari aag ya chingari ke khud hi jal uthte thee,inn ghtnaon ke bastbikta par baigynikon ki alag alag ray haii, lekin iss rahashya ke piche kuch baten saman hai, jese marne bale sabhi log siigret aur sarab ka seban kia karte thee, kher bajah jo bhi ho lekin ye ghatnayen insanko bichlit aur isski rahashhyon ko gehra karti rahi hai,  

Rahashyamai barish

Badlon ka gadgadahat barish ka sanket deti hai, aur barish me bhigne ka ek alag hi maja hai, lekin agar yehi barish rehshyamai ho jai to, ji han yeh ghatana august 1994 ki hai, jab wasington ke  kheton me barish ke sath sath kuch chip chipe padarthon ko dekha geyya, jo ki jinda jibon ke liye hani karak thee, isme ek ajib si gandh thi , jisme ji machlana aur chakar atethe,  jesa uss khet ki malkin sunny bartif ke saath hua, jiske asar se unki paltu billi marjati hai, aur unke maa ko bhi aspatal jana padta hai,

Dobara barish hone par sunny ne un padarthon ki janch karai , jisme choukane bali baat samne aayi , iss chip chip padarth me manab khun me paye janewale white cells mahjood the, jinme nucleas nehi the, yanni inme payejanewale dna ka pata nehi lagaya ja saka, uss rahashyamay barish ko lekar logon ne anuman lagaya,ki barish ke sath aye is chip chipe padarth ke piche , millletry dwara samudra me ki geyi bambari jimmedar hai, jiske bajah se jelly fiss ka ek bishal jhund  margeya, aur badlo ke pani ke sath kheton me barsh geya, isske baad bhi iss ghatna ke piche kai tark diye jate rahe hai, lekin kisine bhi sach ko sabit nehi kiya, dushri ghatnayon ki tarah yeh bhi rahashyamai hai, jisse abbtak suljhana baki hai,

Dosto aaj ka iss episode me baas itna hi, video achalaga to please like kijiye, aur channel ko subscribe jarur kijiye taki anewalam video aaplog miss na kare , firse milenge ek naye episode me tab tak ke liye , namaskar.



No comments:

Post a Comment

if you have any doubts.please let me know

दुनिया की सबसे डरावनी जगह | Scariest places in the world

                    दुनिया की सबसे डरावनी जगहों   दोस्तों , भूत-प्रेत एक ऐसा टॉपिक है , जिस पर लोगों के अलग-अलग मत होते हैं. कोई भूत-प...