Harappa Civilization History|हरपा सभ्यता इतिहास|Indus Valley Civilization
Bhartiya sabhyata
ke itihas me sabse bade ansuljhe
rahasyon me se ek yeh hai , ki prachin kal ki sabse pragtisil sabhyata, jise
Harappa ke naam se jana jata hai, akhir uska patan kese hua ? aur 1700 isapurb
me uss sabhyata ke ujad janeke baad , uske log kanha geye ? akhir kya hua unke
sath?
Harappa
ya sindhughati sabhyata lagbhat 3300 se 1300 ishapurb tak sindhu nadi ke kinare
hua karti thi, uss sabhyata ke logon ko
, yojna badh tarike se bade bade seher basane me mahrath hasil thi, jab baki dunia khana ekatha karna sikh rahi
thi , tab yanha ke log adbhoot se adbhoot ghar , sadke aur bishal hall jese
kakhya bana rahe the, nirman samagri me we pathar ke bajay , iton ka upayag
karte the, jisse weh ek saman imaraton ka nirman kar pate thee.Parantu iten
pathar ki tarah samay ki maar ko nehi jhel sakti, aur isliye eh sabhyata kanhi
kho geyi.
Magar rehshya
yeh hai ki yeh hua kese , kuch logon ka mannan hai ki sindhu nadi me baadh
ajene se esa hua , unki lipi ko abhitak koi nehi samajhpaya,bisesagyon ka manna
hai ki yeh lipi dakhin bharat me payejanewale dravid lipi se mel khati hai,
yehi se ek sabse bade rehshya ka arambh hota hai ki uske baad kya hua.
Harappa
sabhyata ka patan 1900 ishapurb me suru hua aur 1300 ishapurb tak wo puri tarah
se gayab ho gayi, achanak 700 ishapurb me bilkul alag bharat dikhai dia, jiska
kendriya dharm hindu tha aur Sanskrit jesi unnat bhasa thi, bilkul alag aur
unnat nirman taknik thi, anokhi aur apni samay se age , gyan se paripurn baidik
kitaben thi , aur yeh sabhyata sirf sindhu nadi par hi nehi , balki pure bharat
me faili thi.
Kuch
logon ka manna hai ki yeh Aryan hamle ki
bajah se hua , magar gaur karne bali baat yeh bhi hai , ki yeh to bina akraman
kiye bhi ho sakta thaa, ek maat yeh bhi hai , aryano ne ek ghor yudh ke baad
Harappa bashiyon ko tabha kardia, iss mat ka adhar mahanjo daro se mile khyat
bishyat nar mund hai, parntu aur janch padtal ke baad yeh patachla ki yeh
narmund samay ki maar padne ki bajah se khyat biskhyat hue , na ki hinsha se ,
isi tarah kai aur maat bhi hai.
Magar yeh
sab maat kisi na kisi adhar par galat sabit hote hain, agar wanha yudh hua tha
to wanha se hatiyar aur nar kankal milne chahiye, agar Harappa walo ne prabas
kia tha to wo sindhu ghati ko chod kar kanha gaye, itne unnat log agar prabas
karte hain to esa kese ho sakta hai ki who apne piche koi nishan na chode, aur
prachin hindu kitaben , Harappa ke bare me kyun kuch nehi bata ti.
Apne
samay ki sabse pragati sheel sabhyata , samay me kanhi kho jati hai , kyun aur
kese yeh aaj bhi ek rehshya hai, hajaron
saal baad ek aur sabhyata jo unse bilkul alag thi, unhe khoj nikal ti hai, yeh nei sabhyata
aapki aur humari hai, jo unke sabhyata ke janeke baad panapna suru hui thi,
kese yeh kisiko nehi pata.
Dosto aaj
ka iss episode me baas itna hi, video achalaga to please like kijiye, aur
channel ko subscribe jarur kijiye taki anewalam video aaplog miss na kare ,
firse milenge ek naye episode me tab tak ke liye , namaskar.
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know