Dunia ke Sabse Badi Shark MEGALODON|World's biggest shark MEGALODON|दुनिआ के सबसे बड़ी शार्क
Megalodon
Duniabhar
ki reheshyamai pranion ke bare me , hum aaye din nei kahaniyan sunte hai,jinhe insan
sahi ya galat sabit karne ka daba karte aye hai, ek taraf hamare tark shakti
kehti hai, ki esi jibon ka hona jhuta hai, to dushri taraf ek umeed bhi humare
maan me ghar kar leti hai,jo hame sochne par majboor karti hai, ki kya sachem
ese jeeb ho sakte hai.
Bishalkay
aur rahashyamai jibon ki jyadatar kisse,prachin kahaniyon aur logo dwara kahi
gayi baten par adharit hote hai,aur humare kalpanaon ke sath ek neya roop lete
hain,par kuch jeeb ese bhi hai, jinke honeke baigyanik sabut hume mile
hai,bhale hi ye jeeb aaj bilupt ho chuke hai,lekin unke honeke thos baigyanik
sabut sabit karte hain,ki ye bishalkay aur reheshyamai prani, ek samay par
dharti par mahjood thhe.
Esihi ek
jeeb panime rehnewali ek bishal shark ki prajati thi, jisse megaladon kehte
hai,kahajata hai ki ye bishal shark aajse 26lakh saal pehle,panime rehnewali
sabse badi parbhaksi thi,jo ki lambai me 60feet ki akar ki hua karti thi,lekin
pichle kuch salon me iss reheshyamai jeeb ko lekar, dabe kiyegaye ki samudra ka
yeh bishal danab aaj bhi jinda hai.
Megaladon
shark kai badi channels ki documentary ka hissa bani,jinme dabe kiye jate
rahe,ki megaladon prajati ke kuch bishal shark , aaj bhi gehre samudra me
mahjood hai,26 lakh saal pehle pai janibali , yeh mahakay machli, logon ko
heiran aur utsuk kar deti hai, ki kya 60feet lambi shark aaj bhi mahjood ho
shakti hai?
Khoj
kartaon se mile jibasm aur dushre abseson se pata chala hai,ki megaladon aaj se
26lakh saal pehle, samudra me raaj karti thi,ye parbhakhiyon ke list me sabse
upar ati thi,isska 18miter lamba aakar sabit karta hai , ki ye uss samay
samudra ki sabse khatarnak aur bishal prani rahi hogi,jisse maat denebala koi
nehi tha.
Apne 2mitter
se jyada chaude jabde aur 7inch lambe 270 danto se , yeh bade bade samudri
prani ko jinda nigalne me sakhyam thi, aaj ki sabse badi great white shark ke
tulna me, megaladon ka akar 5guna raha hoga,export ka kehna hai ki ye jeeeb abb
puri tarah se luft ho chukka hai, lekin pichle kuch salon me esi samudri
ghatnaye samne aai , jinme logon ne mana ki yeh bishal danab , aaj bhi samudra
ki gehrai me kahin chipa hua hai, jo kabhi kabhi insanon ko apani jhalak
dikhata hai.
San 1875
me SMS challenger jahaj se hui , ek samudri abhiyan me megaladon ke 2dant
payegaye, jinki carban dating se pata chala, ki yeh kebal 10000 saal purane
rahe honge,lakhon saal pehle bilup hui megaladon ke dashajar saal purane is
danto ke milne se , khoj kartaon ko kafi hairani hui, unhe esa laga ki, mano ye
mahakay machli , manab jati ke uday se kuchhi samay pehle bilupt hui thi.
1918 me
ek esi ghatana samne aai , jisme megaladon ko dekhe jane ka dabe kiye gaye,
austrelia ke prakriti bigyani, devid steed ne bataya, ki unke sath kam kar rahe
machwaro ne , broton island ke pass, 35 miter lambi ek bishal sark machli ko
dekha tha, jiske dar ki bajah se, unhone kam par janese manakardiya, machwaro
ne bataya ki , unhone 35miter se jyada lambi shark machli ko dekha tha, jo puri
safed rang ki thi,kya sachme koi sark itni badi ho sakti hai, iss dabe ko
jaankar jyadatar logon ne mana, ki
machware sark ko lekar kafi confuse thhe, aur uski akar ka sahi andaja nehi
laga paye.
Adhunik
samy me megaladon ke sabot ki baat kia jae, to jyadetar daben jhute sabit hote
hain, par kuch ghatnayen esi hai, jo sachai ki kafi kareeb hai, 2009 me history
channel ki ek documetry me , gulf of califarnia me ek shark machliko khojne
ka mission dikhya geya, iss ilake me ek
bahat badi shark hone ke dabe, kai salon se samne ate rahe, dekhne balo ne
bataya , ki yeh bishal sharak 45 feet lambi rahi hogi, jo wanhake samudri
stanpaion ki abadi ko teji se apna shikar bana rahi thi, halanki chhanel ki
team iss samudri saitan ko khojpane me nakamiyab rahi, par sodhkartayon ne mana
yeh badi shark , yanha mahjood ho sakti hai.
Iske
alawa san 2012me , shark renglar naam ki ek show me, dakhin Africa ke kuch
machwaron ka, interview dikhaya geya , jisme bataya geya ki unhone 30 se 40
feet lambi ek shark machli ko , apni ankho se dekha hai,machwaron ne
bataya , who shark machli , unki 35feet
lambi boat se bhi jyada badi thi.
Iske sath
hi discovery channel bhi , 2012,2013 aur 2014 me megaladon ke upar kai show
bana chukka hai, sabhi ghatnayon ko megaladon shark se , joda jata raha par
sabhiki sachai sandhigd hi rahi, jyadatar dabon me shark ke akar ko badhakar
bataya geya, kai case me to graitwhite shark ko megaladon samjhliya geya, lekin
kya sach me ese baigyanik tathya humare paas hai, jo sabit kar sake ki
megaladon sark abbhi gehri samudra me kanhi chipi hui hai.
Kuch
baigyanik tathya iss taraf isara karte hain, sayad iss samudri danab ke , aabhi
bache hone ki umeed hai, pichle 100 salon me hui samudri khojon me, kai ese
samudri jibon ko dekha geya, jo lakhosal pehle bilupt hogeye thee,yeh sabhi
jeeb bigyani ke itihas me,kabke bilupt mane jate rahe, lekin inhe firse jinda
dekhe jane par , jeebbigyani ke itihas me ek aur panna jood geya .
To kya
megaladon shark bhi apni bajood ko bachapane me kamiyab rahi hogi ? iske sath
hi inke bilupt hone ki bajay bhi ek badi behes ka bisay hai, khane ki kami ,
mausam badlab aur dusre karan bhi , kisi prajati ko puritarah katm nehi kar
sakti,humare paas megaladon ki jibasm bhale hi mahjood ho,lehin hume paketaur
par nehi pata , ki samdrapar raaj karnebali ,yeh bishal danabon ki prajati
akhir kese bilupt hui,
Megaladon
se judi sabhi kahaniyon aur dabon ko dekhajay to sabhi apne aapme adhure hai,
wahi science isse puritarah se bilupt maan chuki hai,par sach to yeh hai ki
samudra itna bishal hai, ki iski khak channe me hume kai hajar saal aur lagenge
, ho sakta hai ki megaladon shark abbhi samdra ki gehraion me , kisi jaga
falful rahi ho, janha insan kabhi geya hi naho .
Dosto aaj
ka iss episode me baas itna hi, video achalaga to please like kijiye, aur channel
ko subscribe jarur kijiye taki anewalam video aaplog miss na kare , firse
milenge ek naye episode me tab tak ke liye , namaskar.
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know