ऐसे जानवर जो एक दूसरे के जानी दुश्मन है | Animals That Hate Each Other
Janwar Jo Ek Dushre Ke Jani – Dushman
Janwaron ki
insano se , aur dushre janwaron se dosti ke bare me to khub suna hoga, yah ho
sakta hai ki aapne janwar aur insano ki dushmani ke bareme suna ho , lekin aaj hum baat karenge ek
janwar ki dushre janwar se dushmani ke bareme, wo bhi koi mamuli dushmani nehi balki
jani dushmaani . ji han dosto animal world me kai sare janwaro ke dushre janwaron ke sath animi piars hote hain
jo kabhi ek dushre ke dost ban hi nehi sakte, yeh hamesha ek dushre ki khun ke
pyase rehte hain aur mauka milte hi apni
dushman par janlewa bar karne me nehi chukte .
1.Ants
And Termites चींटियों और दीमक
dimaak aur cheeti dono hi ese jeev hai jinhe aap apne ghar mein dekhna bilkul bhi pasaand
nhi karoge , Aur yeh dono hi jeev ek dusre ke jaani dushman bhi hai . waise
in dono ki dushmani hum insano ke liye behad fayede ka sauda reheti hai ,
kyunki ek baar furniture mein dimaak lag jaye toh phir furniture ka bachna muskil ho jata
hai aapke laakhon rupaye ka sofe ya almari ye dimaak kha dalte hai, wese toh
dimaak ka aakar cheeti ke brabar hi hota hai aur dimaak bhi cheetiyon ki tarah
hi jameen ke niche colony banakar rehena hi pasand karte
hai.
Dimaak
ka pasandeeta bhojan cellulose hota hai jo mukhya rup se lakadiyon mein paya jata hai , wahi
cheetiyon ka mukhya bhojan sugar aur protein hota hai, aur apko jan ke haerani hogi ki jyadatar moko par
cheetiyon ko sugar aur protein dimko se hi milta hai ,dimaak lakdi mein mehjood
cellulose ko kha kar use protein aur sugar mein todti hai aur dimko ko
cheetiyan kha kar wahi sugar aur protein prapt karti hai aur apna bhook mitati
hai ,yani cheetiyon ke liye dimaak ek nutrition se bhara hua bhojan hai.
Lekin esa nhi hai ki dimaak aur cheetiyon mein
jeet harbar cheetiyon ki hi hoti hai asal mein jeet inki sankhya par nirbhar
karti hai agar dimaak sankhyan mein
jyada ho toh who cheetiyon ko maar bhagatee hai, lekin aam tor par cheetiyon ke
ek colony mein ek crore se jyada cheetiyan hoti hai wahi dimaak ke colony mein
sirf dus lakh dimke hote hai, yaani
cheetiyon ke paas dus guna jyada badi
sena hoti hai ,
sankhya mein jyada baadi hone ke karan hi
cheetiyan jhoond banakar ek dam se dimko par hamla kar deti hai wahi kam
sankhyan hone ke wajah se dimaak apna bachao karne mein asamarth sabeet hote
hai. wese hum insaano ko cheetiyan ka sada abhar vyakt karna chahiye kyunki wo
dimko ko kha kar humare lakdi ke furniture aur
darwajo aadi ki rakshya karti hai
2.Cobra
and Mangoose
Sanp aur
neule ki dushmani to jag jahir hai, neula sanp ko dekhtehi use marne keliye
daud padta hai ,neula badehi furti aur chapalta se saanp ke baro se bachta hua
agar saanp ke fan ko dabochne me kamiyab ho jata hai to wo yeh ladhai jeet jata
hai. Neule ki chamdi kafi moti hoti hai , chote sanpo ke bis dant iski chamdi
ko bhed nehi pate.
Lekin agar
sanp neule ko dus bhi le to bhi aam taur par saanp ke jeher ka asar neule par
nehi hota, kyunki neule ke paas bises esssitilo clean reflex hote hain jo sanp
ke neurotoxic jeher ke liye pratirakhyak hote hain, lekin jaruri nehi ki sanp
ke sath ladai me har bar jeet neule ki hi ho , kisi bade cobra yah rasal wiper
jese sanp se ulajhne ka himmat neula kabhi nehi karta.
Kyunki yeh
sanp behad hi takatwar hote hain, inke dwara chode gaye jeher ke matra itni
adhik hoti hai ki agar yeh apna jeher neule ki sarir par chod de, to neule ki
reflexix kamjor hone lagenge aur jeher ke asar se wo mara jayega, wese dekha
jae to dushmani ke mamle me sanp sabse badnasib janwar hai , insano samet bahat
sare jeev ese hai jo sanp ko dekhtehi marna pasand karte hain.
Maur ,
Bandar , billi aur kutte bhi sanp ko dekhte hi uspe hamla karke use maar dalte
hain, apne jeher ke karan sanp gaon me rehne bale logon yah kheton me kam
karnebale kisano ke liye bada khatra hai, humare desh me harsal karib 15000
insan sanpo ke kate jane ki bajah se mare jate hain.
Yehi bajah
hai ki insan bhi sanp ko sabse bada dushman samajhta hai aur sanp ko dekhte hi
use mar dalnapasand karta hai .
3.
White Shark And Killer Whale
Killer whale
ko orcus ke naam se bhi jana jata hai, inke lambai 9miter aur wojan 6ton yani
ek afriki hati jitni ho jati hai, inke tairne ki speed 45 se 50 kilomiter tak
prati ghanta hoti hai, wohi dusri aur great white shark ki lambai 6.5 miter aur
wojan 1500 kilo tak hota hai, great white 25kilomiter prati ghanta ki adhiktam
rafter se tair sakti hai.
Ese to shark
ko samandar ki rani kaha jata hai, shark ek bekhof aur beraham sikari hai,
lekin killer whale ke age yeh white shark humesha bhagne ki kosis karti hai, killer whale ka mukhya
hatiyar inka bhari sarir aur ek jut rehna hi hai , yeh whale humesha jhund bana
kar rehti hai aur ek yojna banakar hi sikar karti hai.
Wese agar
amana samna kisi akele great white shark aur killer whale ke bich ho to takar
kante ki hoti hai, kyunki janha killer whale adhik bhari aur furtili hai wanhi
shark adhik khaufnak bade jabde aur aari jese dhardar hatyaro ke liye jani jati
hai, parantu ek akeli killer whale ko dekhkar bhi shark ulajhne ke bajay bhag
jana pasand karti hai.
Kyunki use
pata hai ki killer whale ki jhund kanhi aas pas hi hoga , aksar dekha geya hai
ki killer whale great white shark ke liver par hi humla karti hai, kyun ki yeh ang
bahat bada aur charbi ka bhandar hota hai,jisse kha kar killer whale ko bade
peimane par calloris milti hai , yehi wajah hai ki aksar great white shark ka
esa mrit sarir hume samundar ke kinare dekhne ko mil jata hai jisme liver nehi
hota.
Wese shark
ek bhukhe saitan ke saman hai , apne
samne ane wali har jinda cheej isse apna bhojan hi lagti hai, fir bhale hi wo
koi machli ho ya fir insan , iske biprit killer whale dolfin ki tarah hi
samajhdar jeev hai , yeh insanon par humla kabhi nehi karti , killer whale ko
bade peimane par insano dwara paltu bhi bana kar rakha jata hai , yeh insane
dwara sikhai gai bhasa ko badi hi asani se samajh leti hai .
4.
Elephant And Rhinos
Kya apne
kabhi gussel hati ko dekha hai, nehi dekha he to acha hai, kai bar yeh gusse me
behad khatarnak ho jate hain , hati kafi bade janwar hote hain, par esahi bade
sarir bada janwar genda bhi hai, halanki yeh hati ke mukable thoda chota hota
hai, par dono hin dharti ke behad takatwar janworon me se ek hai, aur yeh jaldi
ek dushre ka samna karna nehi chahte.
Par jab inka samna hota hai to samna behad khtarnak ho jata hai, yeh ussi tarah hai jese usa aur Russia ek dushre ke amne samne ajae,Africa ke jungle me ek baar ese hi hua jab elephant ka ek group rhinos ki ek group se bhid geya tha , to yeh ek tarah ki jung ho gei thi , black rhino ki sankhya esehi khatre me hai usme iss jung me 38 rhinos ki maut ho gei, anath hatiyon ke parents ki maut ke wajah se who kafi
aggresive ho gaye thee, inke gusse ki sikar bane bichare rhinos , lekin issme galti kebal elephants ki nehi thi, yeh dekha gaya hai ki jab bhi yeh dono animals ka samna hota hai tab kuch na kuch tanab to banhi jata hai, to issiliye aap sakahari janwaron ko bhi kam na samjhiye ga, yeh bhi kafi khun kharaba kar sakte hain.
, Africa ke jungle me
aksar in dono jivon ko apas me ladte hue dekhne ko mil jata hai, yeh dono hi
sikari janwar hai lekin hyenas ki tulna lions se nehi ki ja sakti , hyenas
chahte hain ki who sher ki sikar par kabja karle , par sher yeh bilkul bhi nehi
chahta. har koi janta hai ki sheron se yeh bilkul nehi jeet sakte fir bhi hynas
jhund me ate hain , aur bar bar kosis karte hain ki sher ko piche khaded kar
sikar par kabja karle aur kai bar yeh esa karne par kamiyab bhi ho jate
hain.kyunki ekta me bal hai.
Dosto aaj
ke iss episode me bas intahi, video achalaga
to jarur se like kijiye, sath hi channel ko subscribe karke ghanti ko
jarur dabaiye , taki app humara agla video sabse pehle dekh sake, firse milenge
ek naye episode me, taba tak ke liye namaskar.
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know