तो यह हुआ था MH370 plane के साथ | Mystery Behind MH370 Disappearance
Ajj hum
ek ese digital dunia me rehte hain janha anginat security camera aur dushri
chije hum par najar rakhe hue hain,kanhi
na kahin koi na koi jese hume dekh raha hai,ese me sekdo passenger se bhare ek
pure plane ka gayab ho jana kuch ajib baat hai,
Malesian
airlince ki flight MH370 apne takeup ke baad bina koi thos sabut chode hawame
achanak gayab ho jati hai,aur uske baad uska koi nishan nehi milta,akhir kya
hua tha us biman ke sth , adhunik taknik ka
sahara llekar v export iska koi surag aaj tak dhund nehi pae, kai log
iss ghatna ko ekisbi sadika sabse rahashya may ghatnaon mese ek mante hain,
jisne puri dunia ko e sochne par majbur kardia ki usrat uda ytrion se bhara wo
jahaj akhir kanha geya.
Aaj ki
iss episode me baat karenge march 2014 me gayab hui malesian airline flight
MH370 ki jiska pata ajj tak nehi lag paya,
8 march
2014 qualalampur, international airport malesia flight Mh370 ka cru udan bharne
ki tayari me tha 227 pasengers se bhari iss flight me jyada tar log mallesia
aur china se the jinki manjil bejing
thi, iss safar me 5.30 ghante se jyada
ka wakt lagne wala tha raat ki thik 12.40 ki wakt MH370 take off kia boing 777
prakar ka ye jahaj ab malesiian ki upar se hote hue north east ki taraf badh
raha tha karib 40 minit ke baad isne malecia
airspace ki sima ko paar karte hue qualalam pur air control ko alvida kaha,iske
baad control ne flight se sare samprk kho diye aur flight 370 gayab ho gei .
Itihas me
esa pehlibar huatha ki kisi flight ka sampark achanak se tuta ho aur wo kanhi
na mili ho, lekin MH370 ka case me aesa nehi tha. anubhabi plane cras invesicatior
ko v dunia ka koi kone me MH370 ka koi surag haath nehi laga. achanak se gayab
hui iss flight ne puri dunia ke biman sevaon ko sakte me daal dia tha. jinhe ab
flight ka khone ka koi na koi jabab dena tha .
9march
2014 ghatna ki agle din ki subha jahaj
ki nisano ko dhundne ke liye ek multinational serch
operation team teyar kia geya jisme 64 aircraft aur 69 samudri nawo ne dakhini
hind sagar ki khak chan di. khoj kartaon ko e umeed thi jahaj agar samudra me
gira hai to pani me hui takarse uske kuch na kuch nishan samudra me jarur
milega, flight me mahjood koi v bastu jo pani me tair sakti thi samudra ki
satah par jarur mil jati , lekin yanha esa kuch v hath nehi laga. esa kese ho sakta tha ki koi jahaj samudra me
gire aur uska malwa kanhi na mile .
Jahaj ab
gayab tha aur agency par dawab tha ki wo iss par koi jabab de. lekin koi ese
raaj ko kese suljhaye jiska koi v surag piche nehi chuta , lekin experts ne
haar nehi mani aur unhone suru se iss case ki janch ki jahaj me lade hue maal
ki list dekhne se pata chala ki yatrion ke sath le jarahe maal me ek esi bastu
v thi jo iss jahaj ki gayab hone ka reheshya ko suljha sakti thi .
Janch
kartaon ne paya ki MH370 par uss raat 500pound lithium battry ka package lada hua tha e battrys itni
sankhya me kisi ghatak bisfotak se kam nehi thi battrys par padne wali dawab
aur jhkton se innme aag lagne ki sambhabana thi aur agar kisi ek battry ne aag
pakdi to fir chote chote bisfot ki ek chain banjati jo ek bade hadse ko anjam
de sakti thi , biman durghanaon ke itihas me esa kai baar hua hai jab lithium
battrys lejarahi flights agg lagne se hadse ka sikar hui hai, to kya MH370 me
rakhe battry package me v uss raat agg lagi thi ,
Isse
pehle exports kisi natije par pahanchpate ek naya sabut samne aya jisne iss
raaj ko aur jyada gehra diya,
Ghatna ke
3din baad malecian airforce ke miletry radder ke data se pata chala ki aircraft
ne apni manjil beajing ke taraf na badhkar apni disha dusri aur badah di thi ,
esa hona bahat hi ajib baat thi kyunki beajing ke taraf na badhkar kisi aur
disha me mudjna iss baat ka sanket tha ki esa jaanbujhkar kia geya tha . radar
ke data se patachala ki MH370 beging jane ki bajay wapas se mudkar malesia ke
uparse hote hue utar paschim me 150mil age Thailand ke kinare pahanch geya tha
lekin isske baad wo miletry radar ki pahunch se bahar jakar firse gayab ho geya
.
Iss rader
se mili jankari ne khoj kartaon ke chinta aur kam dono ko aur badha dia tha
,kyunki abb unhe ek bahhat bade samudri ilake me jahaj ke malwe ki khoj karni
thi. bangaal ki khadi se lekar bharat ke samudri kinaron ki .
6 din ki
kadi mehnat aur lakho dollars kharch karne ki baad bhi yanha kuch hasil nehi
hua , ye case ab sabhi ke lie sardard banta ja rahatha , lekin use bhi bada
sawal ye tha achanak se plane ne apna
rasta kyun badal liya aur kya bajah thi ki wo radar pakad se baar baar
gayab ho raha tha janch kartaon ko iss baat ka sak hua ki kanhi MH370 hijack to
nehi hogeya kyunki esa tabhi ho sakta tha jab jahaj ke pailot ko esa karnepar
majboor kia jae, ya fir koi ho jo jahaj me lage transponder ko band karsake ,
Hawame
safar kar rahe kisi bhi aircraft ki posision radar se track ki jati hai ye
airtraffic control ko plane se judi tamam jankari deti haii, jese ki jahaj ki
location aur uski speed lekin koibhi aircraft radar ki pahanch se dur ja sakta
hai ya fir kuch samay ke liya ojhal ho sakta hai, lekin kuch minito ya ghanto
ke baad weh firse rader me dikhne lagata hai, lekin MH370 rader se ek baar
gayab hokar fir kabhi nehi dikha experts mante hain ki esa tabhi ho sakta hai
jab flight ka tranceponder kam karana band karde , flight me laga tranceponder
ek radio ki tarah hota hai , radars ke signal plane tak ate hai aur usme laga
tanceponder wapas signal bhejkar ye batata hai ki plane kis rafter se udd raha
hai aur plane ki location kya hai , lekin agar ye band ho jae to udd raha plane
traffic control ke liye paresani baan sakta hai wo kabhi pata nahi karpayenge
ki plane akhir kanha hai aur kiss speed se safar kar raha haii .
Lekin
tranceponder ka kharab ya band hona bahat hi rare hai, esa kabhi nehi hota , to
kya jahaj ka trancponder jaanbujhkar band ya kharab kiya geya tha, janch
kartaon ka sak ab do taraf tha ya to jahaj kakaptan esa karsaktatha ya fir koi
ho jo kaptan ko majpur kare yaani plane ki hijack hone ki puri umeed thi .
Janch me
aur jya gehraipar janese ek bada khulasa hua MH370 ke sabhi yatrion ka pata
karnepar paya geya ki unmese do log nakli passport par yatra kar rahe the ,
Interpol ne pya ki wo do log nagrikta se iran ke the aur ye plane ke hijackers
bhi ho sakte the , agar esa tha to flight me lage tranceponder aur sare
communication system inhi logon ne band kiye the .
Lekin
janch kartaon ka ye saak v bina kisi thos sabut ki fika padgeya , kyunki plane
hijack hone ke baaad na to kisine uski jimmedari lithi ya kisi tarah ki koi
manng kit thi, age janch me paya geya ki iran ke un dono yatrion ka esa koi
sambhandh kisi sangathan ke sath nehi tha, jo plane ko hijack kar sake,
Sath hi
kaptan ka haath v isme ekdum saaf paya geaya , jahaj ke captain ki pichli
jindggi me esa kuch nehi mila jo isse iss case ka suspect bana sake,
To fir MH370
ko akhir kya hua tha kounsi ese takkat thi jo use hawa me gayab kardiya kyunki
jahaj ki kanhi bhi crase hone ya fir samudra me kanhi bhi malwe ki milne ki
pusti nehi hui thi ,
Ghatna ke
solha din baad janchh kartaon ko fir se ek esa clue mila jissse unhe umeed jagi
sayad MH370 ki guthi abb sulajh sakti hai flight ki trancponder aur dusre
system band hone ki baad v isne apne signals chode the aur wo signal ek
satalite ne pakdatha, gaur se janch karne se pata chala MH370 ne apne samprak
tutne ke baad 5 ghante aur udan bhari , satalite ko har ghante bheje gaye
siglal se janch karataon ne ye to pata laga liya ki jahaj kitni der aur uda tha
lekin wo iss baat ka pata nehi lgapaye ki jahaj akhir kanha geya , abb ye guthi
aur bhi buri tarah se ulajh chuki thi .
Exports
mantehe ki MH370 ki akhri location Indian ocean ,australia ya fir asia ke beech me kanhi rahi hogi kyunki inhi
jagah par mile jahaj ke malwe me kuch tukde ese mille hain jise kuch log MH370
se jod kar dekhte hain, lekin malwe me mile ye jahaj ke tukde v khas madat nehi
kar pati , aur inse ye to bilkul pata nehi lagta ki uss raat MH370 ne apni
disha kyun badal li thi , aur kyun uski tranceponder ne kaam karna band kar dia
tha , agar plane hijack hua tha to kisine uski jimmedari kyun nehi li , aur
agar plane crash hua to uska malwa ya use jude koi bhi thos sabut hume abhitak
kyun nehi mile .
Mh 370
aur ussme baithe 227 logon ka uss raat kya hua ye koi nehi janta .
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know