Islands that mysteriously disappeared Hindiआइलैंड जो रहस्यमयी रूप से गायब हो गये
Khudart
humesha khudko badALTI REHTI HAI,lekin humlog khudrat ki sabhi badlawb ko
mehsoos nehi kar pate,bises roop se ese badlaw to bilkul nehi jiska sidha
prabhab hum par nehi hota.
Samudri
star ka badhna ,pahadon ka khisak na, barf ka pighalna,aur najane kya
kya,khudrat ki in sabhi badlab se sidhetawr par haum prabhabit hote he.issiliye
hum in par najar v rakh te hain.lekin ye khudrat samay ke sath badalti ja rahi
hai jiska hume jara v andaja nehi hai.
Aaj ka e
episode khudrat ki ek esahi badlab ka kahani he janha pure ki pure tapu ese hi
gayab ho geya jese wow kabhi wanha mahjood hi nehi thi..
Kai
sadiyo purane itihas liye inn tapu ka astitwa achanak puri tarah se
mitgeya,khudrat ki iss ankhmicholi ki suruwat hoti hai ese ek island ke sath jiska
naam hai bermiha,solhi sadi se lekar kai satabdi tak naksa aue aupcharik
dastawejo per jinda ye baemiha dharti ki sattah se kab gayab hua koi nehi
janta,
Lekin jis
island itihas ke sadiyon purani ho use bhala koi kese bhul sakta hai,aur jab
wohi island rahashya may roop se gayaab ho jae to usse janne ki utsukta aur v
jyada badh jati hai,kisi jamane me maxico ke khaadi me mahjood isi island ke
bastbikta ki kai sabot mahjood hai jo sabit karti hai kabhi bermiha maxico ki
adhikarik sampati hua karta tha.
Solhi sadi
ke mahan khoj karta ALONJO DISENJA CROOZ ki lekh me bermiha ki jikar bekhubi
milta hai,jo saal 1539 me prakishit hua tha,aur tab se lekar kai sadiyon tak
aneko experts ne apne nakse me bermmiha ka jikar kia hai,,wohi ussi doorme us island ke bagall se gujarnwali jahajon bhi
iss baat ka sabot hai ki iss island
mexico ki khadi me mahjood hua karta tha aur appko jankar hairani hogi ki 1970
tak mexico isse apne territory ke roop me istemal karta tha.
Kisii jamne
me yeh island machli utpado ka ek behtar sroot mana jata tha, to achanakk
bermiha ke sath kya hua ki iska namo nishan
tak dharti se mitgeya.issi sawal ka jawab dhundne kaibar mexico ki agencian pani
me utar chuki haii,aur 1997 me hue ek sarbekhyan me ye baat dunia ke samne aahi
geyi ki janha kabhi bermiha hua karta
tha aaj thik ussi jagahpar samundar ke lehre uffan marti hai, apne iss elake ko
khojne ke liye mexico ne saal 2009 me ek abhiyan iss umid ke sath chalaya ki
sayad kuch kamiyabi hath lagjaye lekin unka ye prayash v puri tarah se nakam
raha.
Aur kuch
v esa hath nehi laga jo ye sabit kar sake ki bermiha abhi jinda hai ,iss island ka
rahashya to abhitak ansuljha hai.
Lekin
logon me isse lekar bahas jari hai,janha kailog mantehe ki ye island puri tarah
se kalpanik hai jisse mexico ne apni dushmano ko bhramit karne ke liye kai
sadiyon tak naksho par dikhaya,wohi mexcio ka iljam he ki bermiha par mahjood
tel ki kuon ke chalte amrica ne apni agency CIA ke dwara isse nast karwa diya.sadiyon tak
nakse me dikhaya jane wala ye tapu akhir kanha gayab hua yeh koii nehi janta.
Bermiha
ke tarah hi ek aur island he jiska astitwaon ko lekar itihas me kafi behesh ho
chuki hai, sarah ann island ke khoj ke daba ek
amrici compny ne saal 1959 me kiya tha jo pese se ek goaana compny thi, goaana
ek prakar ki prakritik khad hoti hai jo chamgadad aur aneko chidiyon ke maal se
banti hai,aur amreica ke aneko tapuon par mahjood hai.
Darasal
august 1856 me amriki sansad me ek kanoon parit hua jiska naam tha goaana
island act.. iss kanoon ke tehat amrika sarkar ne apni nagriko ko ye chhut di
ki wo kisi bhi island par jakar niwas kar sakte hain bas sart yeh hai ki kisi
dusra ka elaka ya pehle se kisike niwas na ho,
Fir kya tha
amrica ke paas mahjood island par kabja karne ki jese hood si mach geyi, jisme
iss goaana compny ne bhi ek island par daba kiya aur uska naam karan sarah ann par kardiya.
Unisbi
sadi tak to iss ialand par kisika dhyan nehi geya lekin bisbi sadi me ye island
apni ek bisesta ke chalte dunia ke naajar me ageya aur wo bisesta thi iski location,,darhsal
kai khagol bigyanion ka manna tha ki surya grahan ki sathik nigrani ke liye
location ke adhar par ye tapu ek adarsh jagah sabit ho sakti hai.
Lekin jab
saal 1932 me german baigyanikon ka ek team iss ialand ke khoj me nikli to kuch
esa hua jiski unhe umeed v nehi thi ,esa koi island us location par dur dur tak
nehi tha.
Goaana ke
liye kabhi hasil ki gayi iss tapu ka koi v nishan wanha mahjood nehi tha,
Saal 1937
me amrica ne v US SPECIFIC FLLET ke naam se apna ek groop iss tapu ke khoj me rawana
kardia iss abhiyan ka sabse badi wajah ye thi ki issi saaal 8 june ko surya
graham lagnewala tha, ese me iss tapu ka milna behad jarurii ho geya THA lekin
germany ke tarah amrica ko v nirasha hi haath lagi,halan ki team iss island ka
pata to nehi laga pai lekin surya graham ki nigrani safal rahi.jo issi rahashya
may location ke paas KENTEN ISLAND par ki gayi.kai salo tak iss rahashya may
island ke upar charchayen hoti rahi.lekin abb is island ko nakse me kanhi bhi
jagah nehi milti.wohi amrica compny ke dabo ko bhi logon nne yeh kehkar thukra
diya ki iss kalpanik island ke piche unka maksad kebal apne nibesako ko dhoka
dena tha.
Tark to
sabhi ne dia lekin prakriti ke iss badlab ko koi nehi suljha saka yeh island
wakehi mahjood tha ya nehi yeh kisiko nehi pata.
To Dosto
aapko aaj ka ye episode kesa laga hame comennt karke jarur batayega . aur iss
channel ko subscribe karkna na bhule
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know