जंगल कीअनसुलझे रहस्य।Mystery of Maricoxi, Sentinel Island, Mysterious Virus | mystery of the jungle
Hare
bhare aur ghane junglon se ghiri, lagbhag ek tihai dharti , prakruti ke aneko
sansadhano se less, aur batabaran ko santulit banaye rakhne ka ,ek matra bikalp
yeh jungle , aneko pasu pakhiyon jibon aur najane kitne hi , adibasiyon ka ghar
hai, aneko sambhabanaon aur rehshyon se bhare, dhartike iss ek tihai hisse ko ,
kuch had tak hum samajh chuken hai , lekin kitna kuch jannan abhi baki hai ,iss
baat ki sanket hume yeh jungle apni rashyamai gatibidhiyon se samay samay par
deta rehta hai, aaj ki iss episode me baat karenge junglon ki esehi ansuljhi
aur rehshyamai baton ki , jinhe jaan kar kamse kam yeh to sabit hota hai, ki
kebal hare bhare paid aur janwaron ka samuh hi , jungle ki paribhasa nehi hai ,
balki iss bishalkay hisse me aneko sambhabanyen mahjood hai.
Mericoxi
(Fawcett)
Ek
bhayabah aur rehshyamai jungle prajati hai, jisse british khoj karta karnal P .
H Phorsat ne , san 1914 me dakhin America ke ghane janglon me pehlibar aur
sayad akhri bar dekha tha.phouset ke anusar iss rehshyamai jeeb ka sarir
lagbhag 12feet lamba, aur puri tarah se ghane balon se dhakahua tha, jo pehli
najar me kisi prakar ki Bandar ki koi prajati lagti thi, lekin haath me pakde
teer Kaman, aur insanon ko dekh kar hamalabar ho jana ,iss baat ki sanket thi
ki yeh koi manab jati hi thi,jo sayad iss dunia se abbbhi anjan thi.
Fouset ne
apni book LOST CITY me maricoxy ke bare me jikr kartehue bataya hai, ki kese
who aur unki admi , iss junlee prajati ke hato sikar hote hote bache, lekin age
iss rahashyamai prajati ke piche, kuch aur tathya dhundte dhundte, san 1925 me
fouset rahashyamai roop se lapata hogaye, jinke bareme bina kisi thos dalil ke
, yeh mana jata hai , ki yeh british khoj karta rahashyamai jungle prajati
mericoxi ka, sikar ho geya.fowset ka maut aur marycoxi ka astitwa aaj bhi dunia
ke liye ek rehshya bana hua hai.
Sentinel
island people
Sentinel
janjati , hind maha sagar ke uttri chor par stit , sentinel deep aur issme
rehnewali sentinelis janjati, esehi rahashyami aur ansuljhi baton ke liye
mashoor hai, janha manyataon ke adhar par , yeh janjati lagbhag pichle 60000
salon se , in junglon me rah rahi hai,aur aaj tak koi bhi sabhyata , inse
milkar inhe janne me kamiyab nehi hui, manajata hai ki unka bhed jannekeliye jo
bhi inka jyada kareeb geya, weh inke hato mara geya.
Itihas
batata hai ki yeh janjati,ek ajnjani bhasa bolti hai,aur inki samuh me 500 se v
kam log hai,lekin sankhya me kam hone ki baad bhi, yeh saririk aur mansik
taurpar, ek dam samanya hai.
Lekin
saal 2004 me aai bhayankar sunami lehro ne , iss anjani janjati ke itihas me,
sabse bada reheshya jod diya,ek esi sunami jisse hind mahasagar ke lagbhag
sabhi choro par,bhayankar tabahi mach gaithi,lakho log beghar ho gaye the, aur
najane kitni hi jane gei thii.
Ese me
iss prajati ne khud ko kese surakhit kiya, yehi jannne kiye helicopter ka ek
dasta, jungle ke upar aya, to iss prajati ke kuch logo ne,bhala aur chaku
dikhakar , unhe wanha se janeki sanket diye, jo apne aap me ek darawana anubhab
tha,itni bayankar sunami me , inn jungle logo ne bina kisi bahari madat ke ,
khudko kese surakhit kiya,yeh inka sabse bada rahashya hai, sayad anewali pidhi
, inn logose milkar inka raaj jaan pane me safal ho jay, lekin abhike liye yeh
janjati, ek rahashya hi hai.
Flesh
Eating Parasite
Jungle se
aai ek rahshyamai bimari, san 2011 me khojkartaon ki ek team ne, Madhya Americi
desh humbros ke la moskedia jungle me, khoyehue aitihasik sahar,city of monkey
god ko khoj nikala, iss prachin sahar me san 1520 tak,estek sabhyata ke lok
nibas karte the, jinki ek ajeeb bimari ki mahamari se maut ho gei,aur tabhi se
yeh sehar dunia se bikul anjan, iss biran jungle me apne firse khoje jane ka ,
intejar kar raha tha.
Pauranik
kahaniyo ke anusar , iss hare bhare seher ko bhagban ka shrap laga tha,jisme
usne ek bhayankar bimari dekar,yanhan ki sabhi logon ko khatma kardia, seher ki
khoj karata aur janimani lekhan daglus prostan ne apni iss khojpar ek puri
kitab likhi hai.
Seher ka
khoja jana, apne aap me ek hairan karne wali baat thi, lekin iski khoj se judi
ek ghatana ne , isse kanhi jyada rahshyamai aur darawana bana dia, khoji dal ki
sadashyon ne paya,ki wo khud pauranik kahaniyon me bataigei, uss rahasyamai
bimar ka sikar ho gaye the, yeh wohi bimari thi jisne uss dauran, pure ka pure
seher ka safaya kar diatha.
Iss
rashyamai bimari ke karan, dal ki sadashyon dhire dhire apni chehre ko, khatm
hota mehsoos kar rahe the, prostin iss ajeeb bimari ke bare me, likhte hue
batate hai, ek ajjeb se parjibine , unke honto aur naak ki slesma jhili ko,
khana suru kardia tha, jiski bajah se unke naak aur hont, dhire dhire khatam ho
rahe the,unke naak aur honth , parjibi ke khaneke bajay se ,lagatar gir gir kar
khokle ho rahe the, jisse sabhi sadasyon ke chehre par , ek badasa ched banta
jar aha tha, iss rehsyamai aur sapit bimari kee bajay se , pure dal ko medical
sahayata ki jarurat padi.
Isske
baad unkadal dar kar wanha se laut aya, wo apne sath wanha se jutai , kuch
kalakrutiyan hin lapaye, apne iss darawene anubhab ke baad , pure dal ne faisla
liya, ki wo fir kabhi uss jungle me wapas nehi lotenge, dal ki rahsyamai aur
bhayabah anubhabne, isse junglon ko sabse badi rahasyon me se, ek bana diya,
wohi prosten mante hai, ki iss ghane jungle me
kai aur gehre raaj abbbhi dafan hai.
Dosto aaj
ka iss episode me baas itna hi, video achalaga to please like kijiye, aur
channel ko subscribe jarur kijiye taki anewalam video aaplog miss na kare ,
firse milenge ek naye episode me tab tak ke liye , namaskar.
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know