समुद्र में पाए गये सबसे विचित्र जीव Samudra me paye Gaye Sabse Vichitra Jeev
समुद्र में पाए गये सबसे विचित्र जीव weirdest Ocean Creatures Hindi
1.
Hatchet fish
2.
Blob Fish
3.
Bobbitt worm
4. Bathothauma lyromma
5. Glaucus atlanticus
Samudra
ka anokha sansar , hume darane ke sath sath hairan bhi karta hai,hamari dharti
ka lagbhag 3 chauthai hissa pani se ghira hai, iska matlab hai,ki bacha hua
kebal ek hissa hi insanon aur janwaron ke rehene ke liye uplabdh hai, lekin iss
ek hisse me v bahat kam jagah esi hai jo hamare rehne layak hai , lekin samudra
ek ese dunia hai janha bahat kuch khoja jana abbhi baki hai.
Sochiye
samudra ke gehraiyon me mahajood uss jagah ke bareme , jisse roshni chu tak
nehi sakti lekin agar hum wanha jate hain to hume samudra ki un bhayankar aur
andekhi jibon ka samna karna pad sakta hai, jinke bareme hum kalpan tak nehi
kar sakte.
Humare
list me sabse pehla samudri jeeb hai hatchet fish, samudra ki yeh machali apni ghinoni roop ke
chalte kafi mashoor hai, stoma family ki yeh machli bahat hi bichitra hai,
jiske bareme bigyan ko bahat kam jankari hai, kyunki isspar adhyan karne ke
liye gehri aur andheri pani me jane ki jarurat padti hai, iske alawa yeh
bichitra machli gehre aur andhere panime chmakti bhi hai, bayolumi sence ki
bajah se nikalne bali iss roshni se yeh dusri parbhakiyon se bhi bachi rehti hai.
Joki
bakei me apne appme ek bichitra baat hai, agar aap iss adbhut machli ko dekhna
chahte hain to appko Indian ya pacific ocean me 50meter se bhi jyada gehrai me
jana hoga.
List me
agala number ek behad ajeeb si dikhne wali machli ka hai blob fish kahijanibali
yeh anokhi machli apne ghinone sworup ke liye jani jati hai, jisse san 2013 me
monster of the year ka title bhi diya gaya tha lekin panise bahar ajeeb si
dikhne wali yeh machli pani ke andar bilkul samnya dikhai deti hai, jiski bajah
he, pani ki gehrai me padne wala dabab baigyanik kehte hain ki gehre pani me
padne wali dabab ke chalte blob fish ki khal aur mansh ek jagah bandhe rehte
hain aur yeh ekdum samanya machli kitarah dikhai deti hai ,
Lekin
panise bahar ate hi iske khal aur mans ki dhile pad jane ki bajay se yeh behad
ajeeb lagne lagti hai , lekin blob fish ki yeh khubi hi use dushre samudri
jibon se alag nehi karti , balki yeh ek esi machli hai jisme haddiyan, kante ,
aur dant na ke barabar hote hain , sath hi iss machli me teji se tairne tak ki
khyamata nehi hoti danto ke na hone aur kam takatwar hone ke babjood bhi , blob
fish bade aram se apni khana dhund leti hai yeh machli apna munh khol kar pani
me tairti rehti hai, aur samudra ke chote jeeb aur dushri khane layak chijen
iske munh me jati rehti hai.
Chaliye
abb aur gehrai me chalte hain , ek khatarnak samudri kida jisse bobbit kehte
hain samudra me payejanewale kidon me , sabse khatarnak mana jata hai , yeh ek
esa hinsak kida hai , jiski lambai 2 se 3 miter tak hoti hai lekin samudri
gaddho me chipne ki kala isse aur bhi ghatak sabit karti hai, ye bade aram se
apne pure sarir ko gaddhe me chipakar ghat lagakar baith jata hai, kebal munh
balaa hissa gaddhe se bahar hone ki bajah se aas paas se gujarne bale jeeb isse
dekh nehi pate, aur iska sikar ho jate hain.
Lekin iss
khubi ke hone ki baad bhi boobit jyada sikar nehi karta , exports ka kehna hai
ki yeh samudri kida 1 saal tak bina kuch khaye piye reh sakta hai iss samudri
kide ki chipne ki kala bakei me kabile tariff hai , apne aaspas ki mahol ke
sath chalabaran karke yeh lagbhag gayab
hi ho jata hai .
Issi kadi
me age samil hai ek aur samudri jeeb jiseke paas nar aur mada dono banne ki
khyamta hoti hai glocus atlanticus namak yeh samudri ghonga , apni khubsurat
rangat aur apni bichitra nar aur mada bale guno ke liye khoj kartaon ke beech
mashoor hai,
Iske
bareme kaha jata hai ki jab do samudri ghonge Milan karte hain to wo dono hi
ande dete hain aur diyegeye ande inke kiye gaye sikar ke bache hue abses me
rakh diye jate hain issiliye na kebal yeh samudri ghonge sikar karke apna pet
bharte hain balki unpar yeh apni ande bhi dete hain, jo bakei ek ajeeb baat hai
2 lakh se
bhi jyada samudri jeeb iss bishal samudra me rehte hain . jinme se bahat abhi
khoje jane baki hail lekin iss mahan samudra ki gehrai insane ko chunoti deti
hai jese humse keh rahi ho aao aur mera samna karo .
Dosto aaj ke iss episode me bas intahi, video achalaga to jarur se like kijiye, sath hi channel ko subscribe karke ghanti ko jarur dabaiye , taki app humara agla video sabse pehle dekh sake, firse milenge ek naye episode me, taba tak ke liye namaskar.