Tuesday, December 8

समुद्र में पाए गये सबसे विचित्र जीव Samudra me paye Gaye Sabse Vichitra Jeev

समुद्र में पाए गये सबसे विचित्र जीव Samudra me paye Gaye Sabse Vichitra Jeev 

 समुद्र में पाए गये सबसे विचित्र जीव weirdest Ocean Creatures Hindi

1. Hatchet fish




2. Blob Fish

3. Bobbitt worm

 4. Bathothauma lyromma

 5. Glaucus atlanticus

Samudra ka anokha sansar , hume darane ke sath sath hairan bhi karta hai,hamari dharti ka lagbhag 3 chauthai hissa pani se ghira hai, iska matlab hai,ki bacha hua kebal ek hissa hi insanon aur janwaron ke rehene ke liye uplabdh hai, lekin iss ek hisse me v bahat kam jagah esi hai jo hamare rehne layak hai , lekin samudra ek ese dunia hai janha bahat kuch khoja jana abbhi baki hai.

Sochiye samudra ke gehraiyon me mahajood uss jagah ke bareme , jisse roshni chu tak nehi sakti lekin agar hum wanha jate hain to hume samudra ki un bhayankar aur andekhi jibon ka samna karna pad sakta hai, jinke bareme hum kalpan tak nehi kar sakte.




Humare list me sabse pehla samudri jeeb hai hatchet fish, samudra ki yeh machali apni ghinoni roop ke chalte kafi mashoor hai, stoma family ki yeh machli bahat hi bichitra hai, jiske bareme bigyan ko bahat kam jankari hai, kyunki isspar adhyan karne ke liye gehri aur andheri pani me jane ki jarurat padti hai, iske alawa yeh bichitra machli gehre aur andhere panime chmakti bhi hai, bayolumi sence ki bajah se nikalne bali iss roshni se yeh dusri parbhakiyon se bhi bachi rehti hai.

Joki bakei me apne appme ek bichitra baat hai, agar aap iss adbhut machli ko dekhna chahte hain to appko Indian ya pacific ocean me 50meter se bhi jyada gehrai me jana hoga.

List me agala number ek behad ajeeb si dikhne wali machli ka hai blob fish kahijanibali yeh anokhi machli apne ghinone sworup ke liye jani jati hai, jisse san 2013 me monster of the year ka title bhi diya gaya tha lekin panise bahar ajeeb si dikhne wali yeh machli pani ke andar bilkul samnya dikhai deti hai, jiski bajah he, pani ki gehrai me padne wala dabab baigyanik kehte hain ki gehre pani me padne wali dabab ke chalte blob fish ki khal aur mansh ek jagah bandhe rehte hain aur yeh ekdum samanya machli kitarah dikhai deti hai ,




Lekin panise bahar ate hi iske khal aur mans ki dhile pad jane ki bajay se yeh behad ajeeb lagne lagti hai , lekin blob fish ki yeh khubi hi use dushre samudri jibon se alag nehi karti , balki yeh ek esi machli hai jisme haddiyan, kante , aur dant na ke barabar hote hain , sath hi iss machli me teji se tairne tak ki khyamata nehi hoti danto ke na hone aur kam takatwar hone ke babjood bhi , blob fish bade aram se apni khana dhund leti hai yeh machli apna munh khol kar pani me tairti rehti hai, aur samudra ke chote jeeb aur dushri khane layak chijen iske munh me jati rehti hai.

 

Chaliye abb aur gehrai me chalte hain , ek khatarnak samudri kida jisse bobbit kehte hain samudra me payejanewale kidon me , sabse khatarnak mana jata hai , yeh ek esa hinsak kida hai , jiski lambai 2 se 3 miter tak hoti hai lekin samudri gaddho me chipne ki kala isse aur bhi ghatak sabit karti hai, ye bade aram se apne pure sarir ko gaddhe me chipakar ghat lagakar baith jata hai, kebal munh balaa hissa gaddhe se bahar hone ki bajah se aas paas se gujarne bale jeeb isse dekh nehi pate, aur iska sikar ho jate hain.






Lekin iss khubi ke hone ki baad bhi boobit jyada sikar nehi karta , exports ka kehna hai ki yeh samudri kida 1 saal tak bina kuch khaye piye reh sakta hai iss samudri kide ki chipne ki kala bakei me kabile tariff hai , apne aaspas ki mahol ke sath chalabaran karke yeh  lagbhag gayab hi ho jata hai .

Issi kadi me age samil hai ek aur samudri jeeb jiseke paas nar aur mada dono banne ki khyamta hoti hai glocus atlanticus namak yeh samudri ghonga , apni khubsurat rangat aur apni bichitra nar aur mada bale guno ke liye khoj kartaon ke beech mashoor hai,

Iske bareme kaha jata hai ki jab do samudri ghonge Milan karte hain to wo dono hi ande dete hain aur diyegeye ande inke kiye gaye sikar ke bache hue abses me rakh diye jate hain issiliye na kebal yeh samudri ghonge sikar karke apna pet bharte hain balki unpar yeh apni ande bhi dete hain, jo bakei ek ajeeb baat hai

2 lakh se bhi jyada samudri jeeb iss bishal samudra me rehte hain . jinme se bahat abhi khoje jane baki hail lekin iss mahan samudra ki gehrai insane ko chunoti deti hai jese humse keh rahi ho aao aur mera samna karo .

Dosto aaj ke iss episode me bas intahi, video achalaga  to jarur se like kijiye, sath hi channel ko subscribe karke ghanti ko jarur dabaiye , taki app humara agla video sabse pehle dekh sake, firse milenge ek naye episode me, taba tak ke liye namaskar.



















 


No comments:

Post a Comment

if you have any doubts.please let me know

दुनिया की सबसे डरावनी जगह | Scariest places in the world

                    दुनिया की सबसे डरावनी जगहों   दोस्तों , भूत-प्रेत एक ऐसा टॉपिक है , जिस पर लोगों के अलग-अलग मत होते हैं. कोई भूत-प...