अनसुलझी रहस्यमयी घटनाएं Unsolved Mysteries Hindi
Unsolved
mystery
Rahashhya
sach aur jhut ke bich eke se lakir hai, jo sambhabanaon ko jannm deti hai, aur
usko janne ki utsukta badhati hai, dunia
me kai ese rahashyamay ghatnayen hui hai jinka rahashya aaj bhi kayam hai, aaj
ka iss episode me kuch esehi ghatnaon ka
jikkr hai jo prakruti ke asadharan roop
ko pesh karti hai,aur jiske samne insano ki budhi aura apar safalta bhi
ghutne tek deti hai,
Ourang medan,
ek bhutiya jahaj, june 1947 pani ke kai jahaj
malaka ke byaparik marg se gujarrahethe, ki achanak malesia ki samudri kinare
par kisi jahaj se aya ek sos, yani madat ka sandesh, receve kiageya, jisme
jahaj ki gambhir halaton ki jankari thi, masseg me likha tha captain sahit
sabhi officers mare huye pade hai, jahaj ki pure crru ke marne ki sambhabana
hai,
Iske baad
aye dushre aur akhri massage me likhatha I dai yani me mara, massge milne ke kuuch
der baad padoshi jahajo ne pya ki madat ka yeh sandesh ek dech malbahak jahaj
se ayatha, jiska naam tha ss ourang medan , iske baad silver star namak navy ka
jahaj badi hi teji se ghatna stal par pahancha , lekin oreng medan par pahanch
ne baad silver star ki crru nee jo dekha wo sachem bhayanak tha , jahajo ke
sabhi sadashyaon ke lashe idhar udhar bikhri padithi, mare hue sabhi logon ke
ankhe iss tarah khuli thi jese marne se pehle kuch bhayanak dekha ho, madat ka
sandesh bhejnewale opprater ka haath abb bhi machine par tha mano usne marte
marte wo sandesh bheje the,
Hairani ki
baat thi ki jahaj par mare hue kisi bhi byakti ki sarir par chot ya kisi ghao
ka nishan nehi tha, silver star ke crru ne fesla kiya, ki iss jahaj ko Bandar gah
par wapas pahancha diya jae, lekin isse pehle wo kuch karpate jahaj ke pichle
hisse me aag lag gei.
Aur ourang
medan samudra me doob geya,silver star ke member ko khudko bachane ke waqk bhi
kafi muskil se mila, iske baadse ourage medan par hui maton ka rehshya sabhi ko
parishan karta hai,, akhir jahaj ke crru
ne esi kounsi bhayank chij dekhi jisne sabko maut ke ghat utar diya, wo bhi
kisiko chot pahanchaye bina , jahaj ke rahashya ko suljane ke liye, age kai sodh
hui par koi bhi iss baat ka pata nehi
laga paya ki jahaj me hui unn maton ke piche akhir koun tha,
Apne aap insano
ka jal uthna
Yeh to
swabhabik hai ki insane ke maut baad uske sarir ko jalaya ya dafnaya jata hai, lekin
aapke same esi ghatnaye ajaye janha insan bina kisi madat se jinda hi jal uthe,
to ye apne aapme kitana rahashyamai hoga , aur uspar ye pata lagapana utne hi
muskil hoga ki esa akhir hua kyun,
Uniswi sadime
ese hi kuch ghatnayenn samne ai, jab kai jale hue mrit sarir apne gharon me
payegaye,, jinki bare me dharna tthi ki yeh manab dahan unki sarir ki bhitar ki
aag ke bajah se hua hai,, naki bahar se jail kisi aag ya chingari ki bajah se,
4 december
1966 ko john erbink esehi abastha me
apni gharpar paye gaye, jo puri tarah se jalkar rakh ho chuke thhe, jisme sirf
unka danya per hi shes reh geya tha, kadi adhayan ke baad bhi aag lagne ki koi
dusri bajah nehi mil saki,
Issi prakar shan 1980 me 73barsiya henri thomash
ke sarir bhi jalihui halat me paya geya , jisme unka khopdi aur ek per shesh
reh geya tha, iske baad itihas me ese keyi ghatnayen samne ayi , jisme insano ke
sarir binakisi bahari aag ya chingari ke khud hi jal uthte thee,inn ghtnaon ke
bastbikta par baigynikon ki alag alag ray haii, lekin iss rahashya ke piche
kuch baten saman hai, jese marne bale sabhi log siigret aur sarab ka seban kia
karte thee, kher bajah jo bhi ho lekin ye ghatnayen insanko bichlit aur isski
rahashhyon ko gehra karti rahi hai,
Rahashyamai
barish
Badlon ka
gadgadahat barish ka sanket deti hai, aur barish me bhigne ka ek alag hi maja
hai, lekin agar yehi barish rehshyamai ho jai to, ji han yeh ghatana august
1994 ki hai, jab wasington ke kheton me
barish ke sath sath kuch chip chipe padarthon ko dekha geyya, jo ki jinda jibon
ke liye hani karak thee, isme ek ajib si gandh thi , jisme ji machlana aur
chakar atethe, jesa uss khet ki malkin
sunny bartif ke saath hua, jiske asar se unki paltu billi marjati hai, aur unke
maa ko bhi aspatal jana padta hai,
Dobara barish
hone par sunny ne un padarthon ki janch karai , jisme choukane bali baat samne
aayi , iss chip chip padarth me manab khun me paye janewale white cells mahjood
the, jinme nucleas nehi the, yanni inme payejanewale dna ka pata nehi lagaya ja
saka, uss rahashyamay barish ko lekar logon ne anuman lagaya,ki barish ke sath
aye is chip chipe padarth ke piche , millletry dwara samudra me ki geyi bambari
jimmedar hai, jiske bajah se jelly fiss ka ek bishal jhund margeya, aur badlo ke pani ke sath kheton me
barsh geya, isske baad bhi iss ghatna ke piche kai tark diye jate rahe hai,
lekin kisine bhi sach ko sabit nehi kiya, dushri ghatnayon ki tarah yeh bhi
rahashyamai hai, jisse abbtak suljhana baki hai,
Dosto aaj
ka iss episode me baas itna hi, video achalaga to please like kijiye, aur channel
ko subscribe jarur kijiye taki anewalam video aaplog miss na kare , firse
milenge ek naye episode me tab tak ke liye , namaskar.