अश्वत्थामा ज़िंदा हैं!असीरगढ़ के किले में देखिये सबूत Ashwathama is alive In Asirgarh Fort see proof
Aहमारे देश में कई ऐसी जगह हैं, जिनके बारे में बहुत सी कही-सुनी कहानियां हैं. इन कहानियों की वजह से उन
जगहों को इतिहास से जोड़कर देखा जाता है. कई लोगों के लिए ये जगहें खतरनाक है, तो कई लोगों को रोमांचक लगती है. ऐसी ही जगह है असीरगढ़ का किला. जिसे महाभारत
से जोड़कर देखा जाता है. कई लोगों का मानना है कि श्रीकृष्ण के श्राप की वजह से
अश्वत्थामा यहां युगों-युगों से भटक रहे हैं.
To chaliye iss channel ko subscribe
karte hue age Badhte hain ek romanchit
safar par
Mahabharat ke bareme janne bale log
aswasthama ke bare me jarur jante honge, mahabharat ke kai pramukh charitraon
me se ek aswasthama ke wajud aaj v hai, agar ye sun kar aap hairan ho rahe ho
to hum aapko bata dai ki apne pita ki maut ka badla lene ke liye nikle
aswasthama ko unki ek chuk bhari padi aur bhagaban sri Krishna ne unko yugo
yugo tak bhatakne ka srap de diya.
Pichle lagbhag 5000 barso se aswasthama
bhatak rahe hai. Esa mana jata hai ki
aswasthama madhyapradesh me stit ashirgard kile ke siv mandir me har roj sabse
pehle puja karne ate hain, shiv mandir par pratidin subha taja phul chadha hua
milna apne appme ek rahashya hai, ajj iss video ke madhyam se humaapko
mahabharat ke kal me aswathama se juudi wo
khas bate batane ja rahe hai jinke bare me aapko sayad hi malum hoga.
Aswasthama mahabharat kaal me janme the
, unki ginti uss yug ki sreth yodhaon me se hoti hai, wo guru dronachaya ke
putra aur kuru bans ke raaj guru kripacharya ke bhanje the, dronacharya ne hi
kaurabo aue pandabo ko sastra bidya sikhai thii , mahabharat ke yudh ke samay
guru dronacharya ne hastinapur rajya ke prati nistha hone ki karan kaurabon ka
sath dena thik samjha .
Awsasthama apni pita ki tarah astra aur
sastra vidhya me mahir thee, pita putra ke jodine mahabharat yudh ke dauran
pandabo ke sena ko nast kar dia thaa,
pandab sena ko hatouschahit hota dekh
kar bhagban sri krisna ne dronachharya ka hatya karne ke liye yudhistir se
madat lene ko kaha iss yojna ke tehet
yudh bhumi ye baat faila di gei ki aswasthama
mara geya haii, jab dronacharya
ne dharmraaaj yudhistir se aswasthhama ki sachai janne chahi to yudhistir ne
jawab diya ki aswasthama marageya haii lekin mai nehi janta ki wo nar tha ya
hathi.
Ye sun kar guru dronacharya ne putra mohh me sastra tyag kar yudh bhumi me baith geye aur usi
mauke ke faida uthakar pachal naresh drupad ke putra dristadyumna ne unka hatya
kardiya .
Pita ke mrytu ne aswasthama ko bichlit
kardiya , mahabharat yudh ke baad jab
aswastma ne pita ke mrutyu ka badla lene
ke liiye pandab putron ka hatyyakardiya
aur pandab vansh ke nash ke liye utara ke garv me pal rahe avimanyu ke bête parikhit ko marne ke liye brahmastra
chalaya tab bhagban sri Krishna ne parikhiit ka rakhya karte hue saja ke roop
me aswasthama ke mathe par lagi mani nikal kar unhe tej hin kardiya aur yugo yugon
tak bhatakte rehne ka srap de diya .
Kahaa jata hai ashirgard ke ilawa
Jabalpur seher ke narmada nadike kinare v awasthama bhatak te rehte hai,
staniya nibashiyon ke anushar kabhi kabhi we apne mathe se behte khun ko rokne
ke liye haldi auur tel ki mang v karte hain.
Kai logon ne iski bare me apni aapbiti
bhi sunai, kuch log ye batate hain ki unke dada unhe kaibar wanha awasthama ko
dekhne ka dawa kia hai,wohi kuch logon ne kaha jab unhone machli pakadne wanha
se talab me gaye to andhere me unhe kisine jor se Dhaka maar diya, sayad Dhaka
dene balo ko unka wanha ana pasand nehi tha ,gaon ke kai bujurgon ki mane to jo
saks ek baar aswasthama ko dekh leta hai uska mansik santulan humesha ke liye
bigad jata hai,
Iss kile me mahjood talab me snan karke
aswsthama shiv mandir me puja karne jate hain , kuchh logon ka kehna hai ki wo
utawli nadi me snan karke puja karne yanha ate hain, ascharyajanak baat yeh hai
ki pahad ke choti me bane ye kile ke talab burhanpur ke tapti garmi me v kabhi
sukhta nehi hai, talab ke thoda age gupteswar mahadev ka mandir hai, ye mandir
charo taraf khaiyon se ghira hai., kimbdanti ke anusar inhi khaiyo me se kisi
ek me gupt rasta bana hua hai, jo khandwa ke jangal se hota hua sidhe iss
mandir me nikalta hai.
Issi raste se hote hue aswasthama mandir
ke andar ate hain, bhale hi iss mandir me koi roshni aur adhunik byabastha nehi
hai yanha panchi bhi par nehi martaa lekin puja lagatar jari rehti hai , shiv
ling par praatidin taja phul chadha rehta hai,
Ashirgard kila burhanpur se lagbhag 20
kilomitar ke duri par uttar disha me satpura pahadiyon ke sikhar par samudri
stal se 750 feet ki unchain par haii.
Aur burhanpur khandwa se lagbhag 80
kilomiter door hai, yahana se burhanpur tak jane ke liye train , bus aur taxi
asani se miljati haii,yanha se sabse najdiki airport indoor hai jo karib 180km
door hai ,burhanpur madhyapradesh ke sabhi bade sehro se rail marg dwara juda
hua hai,
To dosto aaj ka e episode kesa laga hume
comment karke jaur batayega aur iss channel ko subscribe karna na bhule.
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know