Tuesday, January 19

ऐसे जानवर जो एक दूसरे के जानी दुश्मन है | Animals That Hate Each Other

ऐसे जानवर जो एक दूसरे के जानी दुश्मन है | Animals That Hate Each Other 

        Janwar Jo Ek Dushre Ke Jani – Dushman

 

Janwaron ki insano se , aur dushre janwaron se dosti ke bare me to khub suna hoga, yah ho sakta hai ki aapne janwar aur insano ki dushmani ke bareme  suna ho , lekin aaj hum baat karenge ek janwar ki dushre janwar se dushmani ke bareme, wo bhi koi mamuli dushmani nehi balki jani dushmaani . ji han dosto animal world me kai sare janwaro ke  dushre janwaron ke sath animi piars hote hain jo kabhi ek dushre ke dost ban hi nehi sakte, yeh hamesha ek dushre ki khun ke pyase rehte  hain aur mauka milte hi apni dushman par janlewa bar karne me nehi chukte .

1.Ants And Termites चींटियों और दीमक

 dimaak aur cheeti dono hi ese jeev hai jinhe  aap apne ghar mein dekhna bilkul bhi pasaand nhi karoge , Aur  yeh dono hi  jeev ek dusre ke jaani dushman bhi hai . waise in dono ki dushmani hum insano ke liye behad fayede ka sauda reheti hai , kyunki ek baar furniture mein dimaak lag  jaye  toh phir furniture ka bachna muskil ho jata hai aapke laakhon rupaye ka sofe ya almari ye dimaak kha dalte hai, wese toh dimaak ka aakar cheeti ke brabar hi hota hai aur dimaak bhi cheetiyon ki tarah hi jameen ke niche colony banakar rehena hi pasand  karte  hai.

  Dimaak ka pasandeeta bhojan cellulose hota hai jo mukhya  rup se lakadiyon mein paya jata hai , wahi cheetiyon ka mukhya bhojan sugar aur protein hota hai, aur  apko jan ke haerani hogi ki jyadatar moko par cheetiyon ko sugar aur protein dimko se hi milta hai ,dimaak lakdi mein mehjood cellulose ko kha kar use protein aur sugar mein todti hai aur dimko ko cheetiyan kha kar wahi sugar aur protein prapt karti hai aur apna bhook mitati hai ,yani cheetiyon ke liye dimaak ek nutrition se bhara hua bhojan hai.

 Lekin esa nhi hai ki dimaak aur cheetiyon mein jeet harbar cheetiyon ki hi hoti hai asal mein jeet inki sankhya par nirbhar karti  hai agar dimaak sankhyan mein jyada ho toh who cheetiyon ko maar bhagatee hai, lekin aam tor par cheetiyon ke ek colony mein ek crore se jyada cheetiyan hoti hai wahi dimaak ke colony mein sirf  dus lakh dimke hote hai, yaani cheetiyon ke paas dus guna  jyada badi sena hoti hai ,

 sankhya mein jyada baadi hone ke karan hi cheetiyan jhoond banakar ek dam se dimko par hamla kar deti hai wahi kam sankhyan hone ke wajah se dimaak apna bachao karne mein asamarth sabeet hote hai. wese hum insaano ko cheetiyan ka sada abhar vyakt karna chahiye kyunki wo dimko ko kha kar humare lakdi ke furniture aur  darwajo aadi ki rakshya karti hai

 


 

 

2.Cobra and Mangoose

Sanp aur neule ki dushmani to jag jahir hai, neula sanp ko dekhtehi use marne keliye daud padta hai ,neula badehi furti aur chapalta se saanp ke baro se bachta hua agar saanp ke fan ko dabochne me kamiyab ho jata hai to wo yeh ladhai jeet jata hai. Neule ki chamdi kafi moti hoti hai , chote sanpo ke bis dant iski chamdi ko bhed nehi pate.

Lekin agar sanp neule ko dus bhi le to bhi aam taur par saanp ke jeher ka asar neule par nehi hota, kyunki neule ke paas bises esssitilo clean reflex hote hain jo sanp ke neurotoxic jeher ke liye pratirakhyak hote hain, lekin jaruri nehi ki sanp ke sath ladai me har bar jeet neule ki hi ho , kisi bade cobra yah rasal wiper jese sanp se ulajhne ka himmat neula kabhi nehi karta.

Kyunki yeh sanp behad hi takatwar hote hain, inke dwara chode gaye jeher ke matra itni adhik hoti hai ki agar yeh apna jeher neule ki sarir par chod de, to neule ki reflexix kamjor hone lagenge aur jeher ke asar se wo mara jayega, wese dekha jae to dushmani ke mamle me sanp sabse badnasib janwar hai , insano samet bahat sare jeev ese hai jo sanp ko dekhtehi marna pasand karte hain.

Maur , Bandar , billi aur kutte bhi sanp ko dekhte hi uspe hamla karke use maar dalte hain, apne jeher ke karan sanp gaon me rehne bale logon yah kheton me kam karnebale kisano ke liye bada khatra hai, humare desh me harsal karib 15000 insan sanpo ke kate jane ki bajah se mare jate hain.

Yehi bajah hai ki insan bhi sanp ko sabse bada dushman samajhta hai aur sanp ko dekhte hi use mar dalnapasand karta hai .

3. White Shark And Killer Whale


Killer whale ko orcus ke naam se bhi jana jata hai, inke lambai 9miter aur wojan 6ton yani ek afriki hati jitni ho jati hai, inke tairne ki speed 45 se 50 kilomiter tak prati ghanta hoti hai, wohi dusri aur great white shark ki lambai 6.5 miter aur wojan 1500 kilo tak hota hai, great white 25kilomiter prati ghanta ki adhiktam rafter se tair sakti hai.

Ese to shark ko samandar ki rani kaha jata hai, shark ek bekhof aur beraham sikari hai, lekin killer whale ke age yeh white shark humesha bhagne ki  kosis karti hai, killer whale ka mukhya hatiyar inka bhari sarir aur ek jut rehna hi hai , yeh whale humesha jhund bana kar rehti hai aur ek yojna banakar hi sikar karti hai.

Wese agar amana samna kisi akele great white shark aur killer whale ke bich ho to takar kante ki hoti hai, kyunki janha killer whale adhik bhari aur furtili hai wanhi shark adhik khaufnak bade jabde aur aari jese dhardar hatyaro ke liye jani jati hai, parantu ek akeli killer whale ko dekhkar bhi shark ulajhne ke bajay bhag jana pasand karti hai.

Kyunki use pata hai ki killer whale ki jhund kanhi aas pas hi hoga , aksar dekha geya hai ki killer whale great white shark ke liver par hi humla karti hai, kyun ki yeh ang bahat bada aur charbi ka bhandar hota hai,jisse kha kar killer whale ko bade peimane par calloris milti hai , yehi wajah hai ki aksar great white shark ka esa mrit sarir hume samundar ke kinare dekhne ko mil jata hai jisme liver nehi hota.

Wese shark ek bhukhe saitan ke saman hai  , apne samne ane wali har jinda cheej isse apna bhojan hi lagti hai, fir bhale hi wo koi machli ho ya fir insan , iske biprit killer whale dolfin ki tarah hi samajhdar jeev hai , yeh insanon par humla kabhi nehi karti , killer whale ko bade peimane par insano dwara paltu bhi bana kar rakha jata hai , yeh insane dwara sikhai gai bhasa ko badi hi asani se samajh leti hai .

4. Elephant And Rhinos

Kya apne kabhi gussel hati ko dekha hai, nehi dekha he to acha hai, kai bar yeh gusse me behad khatarnak ho jate hain , hati kafi bade janwar hote hain, par esahi bade sarir bada janwar genda bhi hai, halanki yeh hati ke mukable thoda chota hota hai, par dono hin dharti ke behad takatwar janworon me se ek hai, aur yeh jaldi ek dushre ka samna karna nehi chahte.

 

Par jab inka samna hota hai to samna behad khtarnak ho jata hai, yeh ussi tarah hai jese usa aur Russia ek dushre ke amne samne ajae,Africa ke jungle me ek baar ese hi hua jab elephant ka ek group rhinos ki ek group se bhid geya tha , to yeh ek tarah ki jung ho gei thi , black rhino ki sankhya esehi khatre me hai usme iss jung me 38 rhinos ki maut ho gei, anath hatiyon ke parents ki maut ke wajah se who kafi aggresive ho gaye thee, inke gusse ki sikar bane bichare rhinos , lekin issme galti kebal elephants ki nehi thi, yeh dekha gaya hai ki jab bhi yeh dono animals ka samna hota hai tab kuch na kuch tanab to banhi jata hai, to issiliye aap sakahari janwaron ko bhi kam na samjhiye ga,  yeh bhi kafi khun kharaba kar sakte hain.

  , Africa ke jungle me aksar in dono jivon ko apas me ladte hue dekhne ko mil jata hai, yeh dono hi sikari janwar hai lekin hyenas ki tulna lions se nehi ki ja sakti , hyenas chahte hain ki who sher ki sikar par kabja karle , par sher yeh bilkul bhi nehi chahta. har koi janta hai ki sheron se yeh bilkul nehi jeet sakte fir bhi hynas jhund me ate hain , aur bar bar kosis karte hain ki sher ko piche khaded kar sikar par kabja karle aur kai bar yeh esa karne par kamiyab bhi ho jate hain.kyunki ekta me bal hai.

Dosto aaj ke iss episode me bas intahi, video achalaga  to jarur se like kijiye, sath hi channel ko subscribe karke ghanti ko jarur dabaiye , taki app humara agla video sabse pehle dekh sake, firse milenge ek naye episode me, taba tak ke liye namaskar.

 


दुनिया की सबसे डरावनी जगह | Scariest places in the world

                    दुनिया की सबसे डरावनी जगहों   दोस्तों , भूत-प्रेत एक ऐसा टॉपिक है , जिस पर लोगों के अलग-अलग मत होते हैं. कोई भूत-प...