Dunia ke sabse bade jibit 10 janwar- Top 10 Biggest Animals In The World | शीर्ष 10 सबसे बड़ा जानवर .
Dunia ke
sabse bade jibit 10 janwar- top 10 biggest animal
Prithvi
par insane ke sath sath janwar bhi rehte hai. Yeh hamara paryabaran ka hissa
hai, biswabhar me janwar ki bahat si prajatian dekhne ko milti hai. Dunia ke
alag alag deson me payejanewale janwar me kafi antar dekhne ko milta hai, kuch
janwar chote hoten hai aur kuch janwar bade hote hain. Aaj ki iss episode me
baat karenge dunia ke sabse bade janwaron ke bareme.dunia me itne bade janwar
paye jate hain ki unka akar ka anuman lagana bahat kathin karya hai.kai janwar
itne bade hote hai ki, manab ka akar unke samne bahat hi chota pratit hota
hai.to aiye ese hi dunia ke sabse bade 10 janwar ke bareme jante hai.
10.
Goliath Beetle
African
tropical janglon me dunia ka sabse bhari kida paya jata hai. Goliath beetle nam
ka yeh keet 100 gram tak bhari hota hai. Iski lambai 4.5 inch tak hoti hai. Yeh
kale, bhure aur safed rang ka hota hai. Janwaron ki keet srenime sabse bhari
hone ke karan isse dunia ke 10 sabse bade janwaron me se ek mana jata hai.
09.
Chinese Salamander
Bharat me
apne barish ke samay bahat se mendhak dekhe honge. Lekin cheen me payejanebale
mendhak jisse Chinese salamander kehte hain, dunia ka sabse bade janwaron me se
ek hai. Inka wojan 30 se 60 kilogarm tak ke bich hota hai. Yeh 6feet tak lambe
hote hain. Yeh jebit jibashm ke roop me apni pahchan banate hain. Lekin
bartaman samay me yeh bahat durlabh hi najar ate hain. Yeh dunia ka sbse bada
ubhaychar prani hai.
08.
Ostrich
Dunia ke
sabse bade janwaron me ek pakhi ka naam bhi ata hai, kitni bichitra baat hai.
Dunia ka sabse bada pakhi sutarmurg hai. Lekin sutar murg ko dunia ka sabse
bade janwaron me se bhi ek mana jata hai.
Iski
unchain adhiktam 9 feet tak hoti hai. Iska wajan lagbhag 150 kilo tak ho
saktahai. Dunia ka sabse badi ankhobala pakhi bhi sutar murg hi hai.yeh bina
pani ke bhi jibit reh sakte hain.
07.
Saltwater Crocodile
Dunia ke
sabse bade janwaron me khare pani me rehnewale magarmacch ka naam bhi ata hai.
Jesa ki aap jante he ki, magarmach 17 feet tak lamba hota hai. Yadi iska wajan
ka baat kiajaye to yeh 450 kilogram tak hota hai. Yeh Austrelia me amm taur par
dekhne ko mil jaten hai. Inke dant shark machli ke saman hote hain. Kyunki jese
shark machli ka upar wala jabda aur niche wale jabda me dant kuch iss prakar
hote hai ki unka munh jab band ho to uparbala jabda aur nichebala jabda ek
dusre ke sath jud jaye. Thik esa hi crocodile me dekhne ko milte hai.
06. Whale
Shark
Samudra
me rehne wale bade janwaron me whale shark ke naam bhi ata hai. Yeh shark 40
feet tak lambi hoti hai. Aur iska wajan adhiktam 22000 kilo tak ho sakta
hai.lekin iska sikar bade peimane par ho raha hai. Yadi isitarah iss machli ka
sikar hota raha to yeh kuch salon me hi bilupt ho jayenge. Yeh machli
ushmkatibandhiya samudra me hi nibas karte hain.
05. Brown
Bear
Dunia ke
bade janwaron ke list me bhure bhalu ke naam bhi ata hai. Bhure bhalu akar me
kale bhalu se bahat bade hote hain. Yeh unki apekhya adhik shaktishali bhi hote
hain. Inka wajan 1ton ke kareeb hota hai. Aur jab yeh apni pichli tango par
khade hote hai to inki unchain 10 feet tak ho jati hai. Yeh north America ,
urope aur asia ke jungle me adhik dikhai dete hain.
Atrctica
khetra me polar bear bhi paye jate hai, jinko aksar dhrubiya bhalu bhi kaha
jata hai. Yeh bhi dunia ki sabse bade janwaron me se ek mane jate hai. Kyun ki
yeh jamen par chal chalne ke sath sath pani me terne ka khyamta bhi rakhte
hain.
04.
Giraffe
Dunia ki
sabse bade jibit janwaron ki baat kiya jae aur giraff ka nam na aye, yeh
akalpaniya hai. Giraffe ki unchain 19feet tak hoti hai aur iski garden ki
lambai 6feet tak hoti hai. Jab ek giraffe janm leta hai to uska unchain 5feet
tak hoti hai. East Africa ke grassland ke giraffe akar me sabse bade hote hai.
Kyunki yeh khetra inka mulnibas mana jata hai.
Yeh itne
saktisali hote hai ki, yedi yeh apni tang se jordar bar kare to ek sher tak ko
ghatak chot pahncha sakte hain. Kai bar jungle me jab giraffe aur sher ki
ladhai hoti hai, giraffe apni surakhya ke liye apni tang ka istemal karke sher
ko chot pahunchata hai. Kai bar sher ko itni gambhir chot lag jati hai ki who
uske liye pran ghatak bhi sabit ho sakti hai.
03.
African Elephant
Yadi
bhumi par rehne bale sabse bade janwaron ki baat kiya jae to affrica me paye
janewale hati iske liye apne dabedari pesh karte hai. African elephant ka wojan
adhiktam 7 ton tak ho sakta hai. Iski sundh se lekar puch tak ki lambai 35 feet
tak hoti hai. Yeh lagbhag 13 feet tak unche hote hai. Lekin sabse rochak aur
gambhir baat yeh hai ki, yeh janwar bilupt hone ki kagar par hai. Isi karan ise
sankatgrast prajati mankar iska sangrakhyan kia jar aha hai.
02.
Colossal Squid
Yeh bhi
ek jelli fish ki tarah hoti hai. Colossal squid samudra me bas karti hai. Iski
lambai lagbhag 60feet tak ho sakti hai. Kuch colossal squid ka lambai to 90
feet tak bhi dekhi gayi hai. Yadi pure janwar jagat ki baat kiya jae to to iski
ankhe sabhi janwaron se badi hoti hai. Iski ek ankh 10inch ke byas ke barabar
hoti hai. Iss karan iss machli ke itne bade gunoo ko dekhte hue isse sansar ke
sabse bade janwaron ke suchi me rakha jata hai.
01. The
Blue Whale
Aksar ek
sabal sabhi puchte hain ki , dunia ka sabse bada janwar koun hai ? blue whale
nam ki machli ko dunia ka sabse badi jibit janwar mana jata hai.
Jese ki
app jante hai , iss dunia ki sabse rahashyamai chijon me samudra bhi ata hai.
Samudra me bahat si rahashya bhari jankari chupi hui hai. Jiski abhitak
baigyanik khoj nehi kar paye hai. Lekin iss sansar ka sabse bada janwar samudra
me rehta hai .
Blue
whale machli ka wajan 180 ton hota hai. Iski lambai adhiktam 98 feet tak hoti
hai. Yeh machli itni bhari bharkam hoti hai ki iska jiiv ka wojan hi ek hati ka
barabar hota hai, iss machli ka dil ka akar ek car ka barabar hota hai. Inn
sabhi mukhya bishestaon ko dhyan me rakh kar blue whale machli ko dunia ka
sabse bada janwar mana jata hai.
No comments:
Post a Comment
if you have any doubts.please let me know